Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye tirgi-e-shab hi kuchh subh-taraaz aati

Asrarul Haq Majaz

ye tirgi-e-shab hi kuchh subh-taraaz aati

Asrarul Haq Majaz

MORE BYAsrarul Haq Majaz

    ye tīrgī-e-shab kuchh sub.h-tarāz aatī

    ḳhud vāda-e-fardā chhātī bhī dhaḌak jaatī

    hoñToñ pe hañsī paiham aate hue sharmātī

    ab raat nahīñ kaTtī ab niiñd nahīñ aatī

    jo avval o āḳhir thā vo avval o āḳhir hai

    maiñ nāla-ba-jāñ uThtā vo naġhma-ba-sāz aatī

    soz-e-shab-e-hijrāñ phir soz-e-shab-e-hijrāñ hai

    shabnam ba-mizha uThtī zulf-e-darāz aatī

    yā-rab vo javānī bhī kyā mahshar-e-armāñ thī

    añgḌā.ī bhī jab letī ek aañkh jhapak jaatī

    āġhāz-e-siyah-mastī anjām-e-siyah-mastī

    ā.īne meñ sūrat bhī aane qasam khātī

    siine meñ 'majāz' ab tak vo jazba-e-kāfir thā

    taslīs joinda vahdat qasam khātī

    ye tirgi-e-shab hi kuchh subh-taraaz aati

    KHud wada-e-farda ki chhati bhi dhaDak jati

    honTon pe hansi paiham aate hue sharmati

    ab raat nahin kaTti ab nind nahin aati

    jo awwal o aaKHir tha wo awwal o aaKHir hai

    main nala-ba-jaan uThta wo naghma-ba-saz aati

    soz-e-shab-e-hijran phir soz-e-shab-e-hijran hai

    shabnam ba-mizha uThti ya zulf-e-daraaz aati

    ya-rab wo jawani bhi kya mahshar-e-arman thi

    angDai bhi jab leti ek aankh jhapak jati

    aaghaz-e-siyah-masti anjam-e-siyah-masti

    aaine mein surat bhi aane ki qasam khati

    sine mein 'majaz' ab tak wo jazba-e-kafir tha

    taslis ki joinda wahdat ki qasam khati

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ye tirgi-e-shab hi kuchh subh-taraaz aati Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now