ye tujhko hasrat-e-tamir-e-ashiyan kyon hai
ye tujh ko hasrat-e-tā'mīr-e-āshiyāñ kyoñ hai
tū mahv-e-silsila-e-sa'i-e-rā.egāñ kyoñ hai
kal apnī koshish-e-ahsan pe naaz thā tujh ko
ye aaj mātam-e-taḳhrīb-e-āshiyāñ kyoñ hai
nazar bhī kyoñ hai sharīk-e-jamāl-e-rū-e-dost
ye ik latīf sā parda bhī darmiyāñ kyoñ hai
ye zindagī hai kisī mā'siyat kā ḳhamyāza
tū is dayār meñ sharminda-e-fuġhāñ kyoñ hai
maiñ ye samajhne se qāsir huuñ aaj tak 'bismil'
mire nasīb meñ andoh-e-jāvedāñ kyoñ hai
ye tujh ko hasrat-e-ta'mir-e-ashiyan kyon hai
tu mahw-e-silsila-e-sa'i-e-raegan kyon hai
kal apni koshish-e-ahsan pe naz tha tujh ko
ye aaj matam-e-taKHrib-e-ashiyan kyon hai
nazar bhi kyon hai sharik-e-jamal-e-ru-e-dost
ye ek latif sa parda bhi darmiyan kyon hai
ye zindagi hai kisi ma'siyat ka KHamyaza
tu is dayar mein sharminda-e-fughan kyon hai
main ye samajhne se qasir hun aaj tak 'bismil'
mere nasib mein andoh-e-jawedan kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.