aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye tum har baat lafzon ki zabani kyun samajhte ho

Khushbir Singh Shaad

ye tum har baat lafzon ki zabani kyun samajhte ho

Khushbir Singh Shaad

MORE BYKhushbir Singh Shaad

    ye tum har baat lafzoñ zabānī kyuuñ samajhte ho

    sukūt-e-lab ko āḳhir be-ma.ānī kyuuñ samajhte ho

    ye mumkin hai yahīñ tak ho tumhārī tāb-e-bīnā.ī

    nazar had ko āḳhir be-karānī kyuuñ samajhte ho

    agar sach hai tumhārī maut ik din muayyan hai

    to phir is tai-shuda ko nā-gahānī kyuuñ samajhte ho

    yaqīñ rakkho samundar saḳhāvat par yaqīñ rakkho

    hamesha ḳhālī haath aa.egā paanī kyuuñ samajhte ho

    ye mumkin hai tumhārā aks barham ho chehre se

    ise tum aa.ine sargirānī kyuuñ samajhte ho

    mire ash.ār meñ jo dard shiddat hai merī hai

    mire ehsās ko apnī kahānī kyuuñ samajhte ho

    yahāñ zāhir chehrā muḳhtalif hotā hai bātin se

    khilī rañgat ko dil shādmānī kyuuñ samajhte ho

    ye tum har baat lafzon ki zabani kyun samajhte ho

    sukut-e-lab ko aaKHir be-maani kyun samajhte ho

    ye mumkin hai yahin tak ho tumhaari tab-e-binai

    nazar ki had ko aaKHir be-karani kyun samajhte ho

    agar sach hai tumhaari maut ka ek din muayyan hai

    to phir is tai-shuda ko na-gahani kyun samajhte ho

    yaqin rakkho samundar ki saKHawat par yaqin rakkho

    hamesha KHali hath aaega pani kyun samajhte ho

    ye mumkin hai tumhaara aks hi barham ho chehre se

    ise tum aaine ki sargirani kyun samajhte ho

    mere ashaar mein jo dard ki shiddat hai meri hai

    mere ehsas ko apni kahani kyun samajhte ho

    yahan zahir ka chehra muKHtalif hota hai baatin se

    khili rangat ko dil ki shadmani kyun samajhte ho

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Khushbir Singh Shaad

    Khushbir Singh Shaad

    Khushbir Singh Shaad

    Khushbir Singh Shaad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now