Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye wahm hai mera ki haqiqat mein mila hai

Rashid Hamidi

ye wahm hai mera ki haqiqat mein mila hai

Rashid Hamidi

MORE BYRashid Hamidi

    ye vahm hai merā ki haqīqat meñ milā hai

    ḳhurshīd mujhe vādi-e-zulmat meñ milā hai

    shāmil mirī tahzīb meñ hai haq himāyat

    andāz-e-baġhāvat virāsat meñ milā hai

    tā-umr rifāqat qasam khaa.ī thī jis ne

    bichhḌā hai to phir mujh ko qayāmat meñ milā hai

    rukte qadam paañv pakaḌ leñ na masā.il

    har shaḳhs isī ḳhauf se ujlat meñ milā hai

    kuchh aur Thahar jaao sar-e-kū-e-tamannā

    ye hukm mujhe lamha-e-hijrat meñ milā hai

    ādāb kiyā jaa.e kise kitne adab se

    ye fan mujhe barsoñ riyāzat meñ milā hai

    sayyād ne lagtā hai ki fitrat badal

    har phuul mujhe ḳhaar sūrat meñ milā hai

    ye wahm hai mera ki haqiqat mein mila hai

    KHurshid mujhe wadi-e-zulmat mein mila hai

    shamil meri tahzib mein hai haq ki himayat

    andaz-e-baghawat ka wirasat mein mila hai

    ta-umr rifaqat ki qasam khai thi jis ne

    bichhDa hai to phir mujh ko qayamat mein mila hai

    rukte hi qadam panw pakaD len na masail

    har shaKHs isi KHauf se ujlat mein mila hai

    kuchh aur Thahar jao sar-e-ku-e-tamanna

    ye hukm mujhe lamha-e-hijrat mein mila hai

    aadab kiya jae kise kitne adab se

    ye fan mujhe barson ki riyazat mein mila hai

    sayyaad ne lagta hai ki fitrat hi badal di

    har phul mujhe KHar ki surat mein mila hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now