Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye wo aazmaish-e-saKHt hai ki baDe baDe bhi nikal gae

Siraj Lakhnavi

ye wo aazmaish-e-saKHt hai ki baDe baDe bhi nikal gae

Siraj Lakhnavi

MORE BYSiraj Lakhnavi

    ye vo āzmā.ish-e-saḳht hai ki baḌe baḌe bhī nikal ga.e

    ye unhīñ patañgoñ zarf hai ki parā.ī aag meñ jal ga.e

    tirī āstīn kahkashāñ jo nazar paḌī to machal ga.e

    jo tirī ḳhushī nichoḌ the vahī ashk tāroñ meñ Dhal ga.e

    mile sard-āhoñ meñ ashk-e-ġham to sharār-o-barq meñ Dhal ga.e

    ye na jaane kaise charāġh the ki havā ke ruḳh pe bhī jal ga.e

    kisī kisī phuul par kisī shāḳh par kahīñ ab Thahartī nahīñ nazar

    mire āshiyāne ke saath meñ mire hausle bhī to jal ga.e

    mire valvaloñ ke mizāj bhī ba-lihāz-e-mausam-e-vaqt haiñ

    kabhī sard aah meñ jal ga.e kabhī ashk ban ke pighal ga.e

    ye to kaam himmat-e-dil hai tirī raah meñ pas-o-pesh kyā

    jo Thahar ga.e vo Thahar ga.e jo nikal ga.e vo nikal ga.e

    bas ik aañch nazar aa.ī thī hai ye raaz ab bhī Dhakā Dhakā

    vo terā hasīn itaab thā ki ham apne taav meñ jal ga.e

    jo tarāshe fikr ne aa.ine tirā aks husn-e-nazar banā

    jinheñ tujh se kuchh bhī lagāo thā vo ḳhayāl sher meñ Dhal ga.e

    uThā shor mahfil-e-nāz se huiiñ ābdīda masarrateñ

    liyā kis ne naam 'sirāj' ki charāġh ashk ke jal ga.e

    ye wo aazmaish-e-saKHt hai ki baDe baDe bhi nikal gae

    ye unhin patangon ka zarf hai ki parai aag mein jal gae

    teri aastin ki kahkashan jo nazar paDi to machal gae

    jo teri KHushi ka nichoD the wahi ashk taron mein Dhal gae

    mile sard-ahon mein ashk-e-gham to sharar-o-barq mein Dhal gae

    ye na jaane kaise charagh the ki hawa ke ruKH pe bhi jal gae

    kisi kisi phul par kisi shaKH par kahin ab Thaharti nahin nazar

    mere aashiyane ke sath mein mere hausle bhi to jal gae

    mere walwalon ke mizaj bhi ba-lihaz-e-mausam-e-waqt hain

    kabhi sard aah mein jal gae kabhi ashk ban ke pighal gae

    ye to kaam himmat-e-dil ka hai teri rah mein pas-o-pesh kya

    jo Thahar gae wo Thahar gae jo nikal gae wo nikal gae

    bas ek aanch si nazar aai thi hai ye raaz ab bhi Dhaka Dhaka

    wo tera hasin itab tha ki hum apne taw mein jal gae

    jo tarashe fikr ne aaine tera aks husn-e-nazar bana

    jinhen tujh se kuchh bhi lagao tha wo KHayal sher mein Dhal gae

    uTha shor mahfil-e-naz se huin aabdida masarraten

    liya kis ne nam 'siraj' ka ki charagh ashk ke jal gae

    Source:

    Shola-e-Aawaz (Pg. e-78 p-77)

    • Author: Siraj Lakhnavi
      • Edition: 1920
      • Publisher: Nizami Press, Lucknow
      • Year of Publication: 1920
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now