Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye wo yaqin hai jo uljhe yaqin se nikla hai

Akhtar Azmi

ye wo yaqin hai jo uljhe yaqin se nikla hai

Akhtar Azmi

MORE BYAkhtar Azmi

    ye vo yaqīñ hai jo uljhe yaqīñ se niklā hai

    hamārī haañ ye dhāgā nahīñ se niklā hai

    ye dil hai sab se baḌā bhiik māñgne vaalā

    pa zindagī ḳhazāna yahīñ se niklā hai

    tire liye jo yaqīñ dil meñ aa gayā thā mire

    vo saañp ban ke mirī āstīñ se niklā hai

    falak chaah meñ jhūTā yaqīñ zarūrī hai

    ye maan lo ki sitārā zamīñ se niklā hai

    jahāñ maiñ Duub gayā aur Dūbtā gayā

    samundaroñ samundar vahīñ se niklā hai

    mujhe panāh mire dil-nashīñ ne hai sadā

    mirā makān mire makīñ se niklā hai

    ye ḳhār-e-ishq hai 'aḳhtar' maza detā hai

    agar chubhā to kahāñ ye kahīñ se niklā hai

    ye wo yaqin hai jo uljhe yaqin se nikla hai

    hamari han ka ye dhaga nahin se nikla hai

    ye dil hai sab se baDa bhik mangne wala

    pa zindagi ka KHazana yahin se nikla hai

    tere liye jo yaqin dil mein aa gaya tha mere

    wo sanp ban ke meri aastin se nikla hai

    falak ki chah mein jhuTa yaqin zaruri hai

    ye man lo ki sitara zamin se nikla hai

    jahan main Dub gaya aur Dubta hi gaya

    samundaron ka samundar wahin se nikla hai

    mujhe panah mere dil-nashin ne di hai sada

    mera makan mere hi makin se nikla hai

    ye KHar-e-ishq hai 'aKHtar' maza hi deta hai

    agar chubha to kahan ye kahin se nikla hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now