Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye zad-e-rah hamesha safar mein rakh lena

Syed Shakeel Desnavi

ye zad-e-rah hamesha safar mein rakh lena

Syed Shakeel Desnavi

MORE BYSyed Shakeel Desnavi

    ye zād-e-rāh hamesha safar meñ rakh lenā

    bichhḌe vaqt manzar nazar meñ rakh lenā

    mile to raas bhī aa.e lakīr hāthoñ

    ye ik kamāl bhī dast-e-hunar meñ rakh lenā

    safar hai lauT ke aanā agar nasīb na ho

    sajā ke yaad mirī chashm-e-tar meñ rakh lenā

    hamārī zad meñ hai puurī tarah fasīl-e-shab

    hamārā naam numūd-e-sahar meñ rakh lenā

    kisī yaad ḳhushbū safar meñ saath chale

    kisī ke hijr mausam nazar meñ rakh lenā

    ye zad-e-rah hamesha safar mein rakh lena

    bichhDe waqt ka manzar nazar mein rakh lena

    mile to ras bhi aae lakir hathon ki

    ye ek kamal bhi dast-e-hunar mein rakh lena

    safar hai lauT ke aana agar nasib na ho

    saja ke yaad meri chashm-e-tar mein rakh lena

    hamari zad mein hai puri tarah fasil-e-shab

    hamara nam numud-e-sahar mein rakh lena

    kisi ki yaad ki KHushbu safar mein sath chale

    kisi ke hijr ka mausam nazar mein rakh lena

    Source:

    Ketni Haqeeqat Ketna Khwaab (Pg. 40)

    • Author: Sayed Shakeel Desnavi
      • Edition: 2005
      • Publisher: Adshot Publications,
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now