Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye zarurat hai to phir isko zarurat se na dekh

Shahid Kamal

ye zarurat hai to phir isko zarurat se na dekh

Shahid Kamal

MORE BYShahid Kamal

    ye zarūrat hai to phir is ko zarūrat se na dekh

    apnī chāhat ko kisī aur chāhat se na dekh

    tujh meñ aur mujh meñ koī farq nahīñ hai lekin

    sharāfat ko mirī apnī sharāfat se na dekh

    mujh ko ho jā.egī ab mujh se nafrat varna

    ai mirī jaan mujhe itnī mohabbat se na dekh

    hañs ke har bojh zamāne uThā letā huuñ

    maiñ huuñ mazdūr mujhe itnī hiqārat se na dekh

    ham-nashīnī sharaf sab ko kahāñ miltā hai

    tere pahlū meñ jo baiThā huuñ to hairat se na dekh

    husn-bīnī ke bhī ādāb huā karte haiñ

    us ke chehre taraf itnī jasārat se na dekh

    us se māñgā hai kahāñ maiñ ne koī harf-e-qisās

    mere qātil se ye kah mujh ko nadāmat se na dekh

    ye zarurat hai to phir is ko zarurat se na dekh

    apni chahat ko kisi aur ki chahat se na dekh

    tujh mein aur mujh mein koi farq nahin hai lekin

    tu sharafat ko meri apni sharafat se na dekh

    mujh ko ho jaegi ab mujh se hi nafrat warna

    ai meri jaan mujhe itni mohabbat se na dekh

    hans ke har bojh zamane ka uTha leta hun

    main hun mazdur mujhe itni hiqarat se na dekh

    ham-nashini ka sharaf sab ko kahan milta hai

    tere pahlu mein jo baiTha hun to hairat se na dekh

    husn-bini ke bhi aadab hua karte hain

    us ke chehre ki taraf itni jasarat se na dekh

    us se manga hai kahan main ne koi harf-e-qisas

    mere qatil se ye kah mujh ko nadamat se na dekh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now