Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye zist karne ki nikli sabil raaton-raat

Fareed Parbati

ye zist karne ki nikli sabil raaton-raat

Fareed Parbati

MORE BYFareed Parbati

    ye ziist karne niklī sabīl rātoñ-rāt

    maiñ ḳhud se hone lagā huuñ tavīl rātoñ-rāt

    vo merī ruuh ko phir bhī na kar sakā āzād

    jo Dhā ke niklā badan fasīl rātoñ-rāt

    diyā hai jāgte tāroñ ne be-mahār karb

    banā ga.e haiñ mujhe ḳhud-kafīl rātoñ-rāt

    maiñ baar baar yahāñ zad pe chaḌhtā rahtā huuñ

    chaḌhā.ī karte haiñ as.hāb-e-fīl rātoñ-rāt

    saroñ ko tasht meñ le kar sahar hai aane

    yahāñ se bhaag ai ibnus-sabīl rātoñ-rāt

    maiñ apne aap ko jal-bās karne vaalā thā

    mire makāñ meñ ugā rūd-e-nīl rātoñ-rāt

    tuyūr nāchte the jin shāḳh shāḳh pe kal

    barahna ho ga.e vo sab naḳhīl rātoñ-rāt

    ye zist karne ki nikli sabil raaton-raat

    main KHud se hone laga hun tawil raaton-raat

    wo meri ruh ko phir bhi na kar saka aazad

    jo Dha ke nikla badan ki fasil raaton-raat

    diya hai jagte taron ne be-mahaar sa karb

    bana gae hain mujhe KHud-kafil raaton-raat

    main bar bar yahan zad pe chaDhta rahta hun

    chaDhai karte hain ashab-e-fil raaton-raat

    saron ko tasht mein le kar sahar hai aane ki

    yahan se bhag ai ibnus-sabil raaton-raat

    main apne aap ko jal-bas karne wala tha

    mere makan mein uga rud-e-nil raaton-raat

    tuyur nachte the jin ki shaKH shaKH pe kal

    barahna ho gae wo sab naKHil raaton-raat

    Source:

    Shair (Pg. 51)

      • Publisher: Nazir Noman Siddiqui
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now