Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun aane wale akele-pan ke liye main yaaden bana raha hun

Rehman Musawwir

yun aane wale akele-pan ke liye main yaaden bana raha hun

Rehman Musawwir

MORE BYRehman Musawwir

    yuuñ aane vaale akele-pan ke liye maiñ yādeñ banā rahā huuñ

    ki us ke nazdīk baiTh kar kuchh fuzūl bāteñ banā rahā huuñ

    udaas mausam udaas jhūle udaas phirte haiñ sab parinde

    so un ḳhātir maiñ bāzuoñ se shajar meñ shāḳheñ banā rahā huuñ

    maiñ jāntā huuñ vo ḳhud-ġharaz hai par is tabī.at koī hal hai

    vo mere din ḳhaak kar rahā hai maiñ us rāteñ banā rahā huuñ

    mujhe ḳhud apne badan se kirneñ nikaltī mahsūs ho rahī haiñ

    maiñ canvas par hasīn laḌkī shoḳh āñkheñ banā rahā huuñ

    kamān aabrū siyāh palkeñ gulāb aariz ġhazāl āñkheñ

    hai jin se vābasta ishq merā vo saarī yādeñ banā rahā huuñ

    yun aane wale akele-pan ke liye main yaaden bana raha hun

    ki us ke nazdik baiTh kar kuchh fuzul baaten bana raha hun

    udas mausam udas jhule udas phirte hain sab parinde

    so un ki KHatir main bazuon se shajar mein shaKHen bana raha hun

    main jaanta hun wo KHud-gharaz hai par is tabiat ka koi hal hai

    wo mere din KHak kar raha hai main us ki raaten bana raha hun

    mujhe KHud apne badan se kirnen nikalti mahsus ho rahi hain

    main canwas par hasin laDki ki shoKH aankhen bana raha hun

    kaman aabru siyah palken gulab aariz ghazal aankhen

    hai jin se wabasta ishq mera wo sari yaaden bana raha hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now