Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun ba-mushkil dil-e-majruh se paikan nikla

Jigar Biswani

yun ba-mushkil dil-e-majruh se paikan nikla

Jigar Biswani

MORE BYJigar Biswani

    yuuñ ba-mushkil dil-e-majrūh se paikāñ niklā

    maiñ ye samjhā ki tire vasl armāñ niklā

    dekh kar us ko dam-e-naza.a huiiñ āñkheñ band

    jaan ke saath dīdār armāñ niklā

    arsa-e-hashr meñ pursish jo huī us but

    mere dil meñ vo ġhārat-gar-e-īmāñ niklā

    dhuum sahrā-e-qayāmat bahut sunte the

    ai junūñ vo bhī mirā ek bayābāñ niklā

    ḳhaak meñ mil ga.e ham jis tamannā meñ 'jigar'

    vo lahad par bhī sambhāle hue dāmāñ niklā

    yun ba-mushkil dil-e-majruh se paikan nikla

    main ye samjha ki tere wasl ka arman nikla

    dekh kar us ko dam-e-naza huin aankhen band

    jaan ke sath hi didar ka arman nikla

    arsa-e-hashr mein pursish jo hui us but ki

    mere hi dil mein wo ghaarat-gar-e-iman nikla

    dhum sahra-e-qayamat ki bahut sunte the

    ai junun wo bhi mera ek bayaban nikla

    KHak mein mil gae hum jis ki tamanna mein 'jigar'

    wo lahad par bhi sambhaale hue daman nikla

    Source:

    Intikhab-e-Kalam Jigar Bisvani (Pg. 15)

      • Edition: 1986
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now