yun bharam apni amiri ka bana rakkha hai
yuuñ bharam apnī amīrī kā banā rakkhā hai
ghar to ḳhālī hai magar taalā lagā rakkhā hai
āl-e-maqtūl to maqtal meñ khaḌī hai ḳhāmosh
aap ne kis liye hangāma machā rakkhā hai
tum ne sahrā meñ bahut ḳhaak uḌaa.ī hogī
maiñ ne to shahr meñ māhaul banā rakkhā hai
jaise-taise tirī tasvīr churā lī maiñ ne
bas koī pūchh na le jeb meñ kyā rakkhā hai
tum kaho apne ta'alluq kī vazāhat kar duuñ
ek patthar hai jise sar pe uThā rakkhā hai
yun bharam apni amiri ka bana rakkha hai
ghar to KHali hai magar tala laga rakkha hai
aal-e-maqtul to maqtal mein khaDi hai KHamosh
aap ne kis liye hangama macha rakkha hai
tum ne sahra mein bahut KHak uDai hogi
main ne to shahr mein mahaul bana rakkha hai
jaise-taise teri taswir chura li main ne
bas koi puchh na le jeb mein kya rakkha hai
tum kaho apne ta'alluq ki wazahat kar dun
ek patthar hai jise sar pe uTha rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.