Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun bhi dekha na kabhi dard ka darman hona

Bekhud Mohani

yun bhi dekha na kabhi dard ka darman hona

Bekhud Mohani

MORE BYBekhud Mohani

    yuuñ bhī dekhā na kabhī dard darmāñ honā

    haa.e vo nashtar-e-mizhgāñ rag-e-jāñ honā

    vo tamannāoñ rah rah ke pareshāñ honā

    vo tirī yaad dil meñ tire mehmāñ honā

    parde parde meñ tire vasl sāmāñ honā

    dard-e-pinhāñ tirā ġhamza-e-pinhāñ honā

    mahshar-e-nāz haiñ zarrāt-e-fazā-e-kaunain

    allah allah kisī kāfir ḳhirāmāñ honā

    har ghaḌī ik na.e aalam ḳhabar detā hai

    mirā hañsnā mirā ronā mirā hairāñ honā

    josh-e-ābādī-e-duniyā se mohabbat ya.anī

    dil-e-hasrat-zada mahshar-e-hirmāñ honā

    aah maiñ huuñ vo siyah-baḳht ki taqdīr meñ thā

    barq se mere nasheman charāġhāñ honā

    ḳhair apnī nahīñ tujh ko ye kahe detā hai

    apnī har ek adā par tirā hairāñ honā

    jalva-e-bazm-e-azal jalva-e-tūr-e-mahshar

    hai mire shauq ke ajzā pareshāñ honā

    dekhiye nāz-e-taġhāful ko dikhā.e kyā rang

    ashk hasrat sar-e-dāman-e-mizhgāñ honā

    vādī-e-ma.arifat-o-shauq ke allah re nasīb

    jis qismat meñ thā 'beḳhud' bayābāñ honā

    yun bhi dekha na kabhi dard ka darman hona

    hae wo nashtar-e-mizhgan ka rag-e-jaan hona

    wo tamannaon ka rah rah ke pareshan hona

    wo teri yaad ka dil mein tere mehman hona

    parde parde mein tere wasl ka saman hona

    dard-e-pinhan ka tera ghamza-e-pinhan hona

    mahshar-e-naz hain zarraat-e-faza-e-kaunain

    allah allah kisi kafir ka KHiraman hona

    har ghaDi ek nae aalam ki KHabar deta hai

    mera hansna mera rona mera hairan hona

    josh-e-abaadi-e-duniya se mohabbat yani

    dil-e-hasrat-zada ka mahshar-e-hirman hona

    aah main hun wo siyah-baKHt ki taqdir mein tha

    barq se mere nasheman ka charaghan hona

    KHair apni nahin tujh ko ye kahe deta hai

    apni har ek ada par tera hairan hona

    jalwa-e-bazm-e-azal jalwa-e-tur-e-mahshar

    hai mere shauq ke ajza ka pareshan hona

    dekhiye naz-e-taghaful ko dikhae kya rang

    ashk hasrat ka sar-e-daman-e-mizhgan hona

    wadi-e-marifat-o-shauq ke allah re nasib

    jis ki qismat mein tha 'beKHud' ka bayaban hona

    Source:

    Intikhab-e-Kalam-e-Bekhud Mohani (Pg. 28)

    • Author: Bekhud Mohani
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now