Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun bhi nahin ki dil mein koi gham nahin raha

Zafar Iqbal

yun bhi nahin ki dil mein koi gham nahin raha

Zafar Iqbal

MORE BYZafar Iqbal

    yuuñ bhī nahīñ ki dil meñ koī ġham nahīñ rahā

    ye silsila kuchh itnā munazzam nahīñ rahā

    dil se to ḳhair dho ga.ī bārish tamām naqsh

    dīvār-e-shahr bhī vo aalam nahīñ rahā

    zid par vo apnī aaj bhī qaa.em to hai magar

    aglā vo bayān meñ dam-ḳham nahīñ rahā

    māyūs ho chukā hai ki hai mutma.in ye dil

    vo zaḳhm bhar ga.e haiñ ki marham nahīñ rahā

    kashtī-e-dil to ek thapeḌe maar thī

    tūfān-e-nāz kis liye ab tham nahīñ rahā

    chhoḌī hai jab se ham ne 'zafar' ājizī ḳhū

    itnā mizāj us bhī barham nahīñ rahā

    yun bhi nahin ki dil mein koi gham nahin raha

    ye silsila kuchh itna munazzam nahin raha

    dil se to KHair dho gai barish tamam naqsh

    diwar-e-shahr ka bhi wo aalam nahin raha

    zid par wo apni aaj bhi qaem to hai magar

    agla sa wo bayan mein dam-KHam nahin raha

    mayus ho chuka hai ki hai mutmain ye dil

    wo zaKHm bhar gae hain ki marham nahin raha

    kashti-e-dil to ek thapeDe ki mar thi

    tufan-e-naz kis liye ab tham nahin raha

    chhoDi hai jab se hum ne 'zafar' aajizi ki KHu

    itna mizaj us ka bhi barham nahin raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now