Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun bichhaD jaunga tum se maine ye socha na tha

Badr Shamsi

yun bichhaD jaunga tum se maine ye socha na tha

Badr Shamsi

MORE BYBadr Shamsi

    yuuñ bichhaḌ jā.ūñgā tum se maiñ ne ye sochā na thā

    qurbatoñ meñ fāsloñ koī andāza na thā

    jaane pahchāne hue chehre bhī sab the ajnabī

    kitnā tanhā thā vahāñ bhī maiñ jahāñ tanhā na thā

    apne dil zahr-e-ġham āñkhoñ se jo chhalkā gayā

    vo samundar thā magar merī tarah gahrā na thā

    zindagī ham bhī tirī qadroñ ke vāris the magar

    apnī qismat meñ faqat dīvār thī saaya na thā

    har taraf hai ab mirī ḳhāmoshiyoñ bāzgasht

    zindagī meñ is se pahle itnā sannāTā na thā

    rūThne vaale mirī chāhat andāza to kar

    is qadar to maiñ ne ḳhud ko bhī kabhī chāhā na thā

    zaḳhm bhī jis ne diye haiñ mujh ko ġhairoñ tarah

    vo mirā apnā thā lekin mujh ko pahchānā na thā

    pyaar āḳhir kyoñ na aatā apne qātil par mujhe

    mere us ke darmiyāñ kyā ḳhuun rishta na thā

    be-vafā.ī shikāyat thī mujhe us se magar

    us majbūrī ko jab tak 'badr' maiñ samjhā na thā

    yun bichhaD jaunga tum se main ne ye socha na tha

    qurbaton mein faslon ka koi andaza na tha

    jaane pahchane hue chehre bhi sab the ajnabi

    kitna tanha tha wahan bhi main jahan tanha na tha

    apne dil ka zahr-e-gham aankhon se jo chhalka gaya

    wo samundar tha magar meri tarah gahra na tha

    zindagi hum bhi teri qadron ke waris the magar

    apni qismat mein faqat diwar thi saya na tha

    har taraf hai ab meri KHamoshiyon ki bazgasht

    zindagi mein is se pahle itna sannaTa na tha

    ruThne wale meri chahat ka andaza to kar

    is qadar to main ne KHud ko bhi kabhi chaha na tha

    zaKHm bhi jis ne diye hain mujh ko ghairon ki tarah

    wo mera apna tha lekin mujh ko pahchana na tha

    pyar aaKHir kyon na aata apne qatil par mujhe

    mere us ke darmiyan kya KHun ka rishta na tha

    be-wafai ki shikayat thi mujhe us se magar

    us ki majburi ko jab tak 'badr' main samjha na tha

    Source:

    Khwabon Ka Lahu (Pg. 18)

    • Author: Badr Shamsi
      • Publisher: Badr Shamsi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now