yun dil ko gudgudaya har gham jaga diya hai
yuuñ dil ko gudgudāyā har ġham jagā diyā hai
us ne hañsī hañsī meñ ham ko rulā diyā hai
pūchhā bahut jo ham ne kis or ab miloge
chuTkī meñ ret le kar us ne uḌā diyā hai
kal shab 'ajab havā thī bujhte diye kī lau meñ
vo āñsuoñ kā kāġhaz ham ne jalā diyā hai
raushan the raat ham se ḳheme musāfiroñ ke
din ke safar meñ sab ne ham ko bhulā diyā hai
jin kāġhazoñ pe dil kī qīmat likhī huī thī
in dīmakoñ ko kis ne in kā pata diyā hai
yun dil ko gudgudaya har gham jaga diya hai
us ne hansi hansi mein hum ko rula diya hai
puchha bahut jo hum ne kis or ab miloge
chuTki mein ret le kar us ne uDa diya hai
kal shab 'ajab hawa thi bujhte diye ki lau mein
wo aansuon ka kaghaz hum ne jala diya hai
raushan the raat hum se KHeme musafiron ke
din ke safar mein sab ne hum ko bhula diya hai
jin kaghazon pe dil ki qimat likhi hui thi
in dimakon ko kis ne in ka pata diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.