yun giri barq yahan shams-o-qamar TuT gae
yuuñ girī barq yahāñ shams-o-qamar TuuT ga.e
sang barse to hasīñ kāñch ke ghar Tuut ga.e
vo taḳhayyul vo mire ḳhvāboñ tamannāoñ ke
āñdhiyāñ tez chalīñ aur samar Tuut ga.e
ham tirī 'ishq kī nagrī ke musāfir Thahre
so hameñ dekh pashemānī ke par Tuut ga.e
Tuut jaane kā karo shikva na ham se hamdam
tum jo TuuTe ho udhar ham bhī idhar Tuut ga.e
sar-e-sāhil jo banā.e the baḌī ulfat se
ek jhoñke se vahī ret ke ghar Tuut ga.e
yun giri barq yahan shams-o-qamar TuT gae
sang barse to hasin kanch ke ghar Tut gae
wo taKHayyul wo mere KHwabon tamannaon ke
aandhiyan tez chalin aur samar Tut gae
hum teri 'ishq ki nagri ke musafir Thahre
so hamein dekh pashemani ke par Tut gae
Tut jaane ka karo shikwa na hum se hamdam
tum jo TuTe ho udhar hum bhi idhar Tut gae
sar-e-sahil jo banae the baDi ulfat se
ek jhonke se wahi ret ke ghar Tut gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.