yun ek sabaq-e-mehr-o-wafa chhoD gae hum

Jagan Nath Azad

yun ek sabaq-e-mehr-o-wafa chhoD gae hum

Jagan Nath Azad

MORE BYJagan Nath Azad

  yuuñ ik sabaq-e-mehr-o-vafā chhoḌ ga.e ham

  har raah meñ naqsh-e-kaf-e-pā chhoḌ ga.e ham

  duniyā tire qirtās pe kyā chhoḌ ga.e ham

  ik husn-e-bayāñ husn-e-adā chhoḌ ga.e ham

  māhaul zulmāt meñ jis raah se guzre

  qindīl-e-mohabbat ziyā chhoḌ ga.e ham

  begāna rahe dard-e-mohabbat davā se

  ye dard kuchh aur sivā chhoḌ ga.e ham

  thī sāmne ālā.ish-e-duniyā bhī ik raah

  vo ḳhūbi-e-qismat se zarā chhoḌ ga.e ham

  ik husn-e-dakan thā ki nigāhoñ se na chhūTā

  har husn ko varna ba-ḳhudā chhoḌ ga.e ham

  yun ek sabaq-e-mehr-o-wafa chhoD gae hum

  har rah mein naqsh-e-kaf-e-pa chhoD gae hum

  duniya tere qirtas pe kya chhoD gae hum

  ek husn-e-bayan husn-e-ada chhoD gae hum

  mahaul ki zulmat mein jis rah se guzre

  qindil-e-mohabbat ki ziya chhoD gae hum

  begana rahe dard-e-mohabbat ki dawa se

  ye dard hi kuchh aur siwa chhoD gae hum

  thi samne aalaish-e-duniya ki bhi ek rah

  wo KHubi-e-qismat se zara chhoD gae hum

  ek husn-e-dakan tha ki nigahon se na chhuTa

  har husn ko warna ba-KHuda chhoD gae hum

  RECITATIONS

  Nomaan Shauque

  Nomaan Shauque

  Nomaan Shauque

  yun ek sabaq-e-mehr-o-wafa chhoD gae hum Nomaan Shauque

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY