Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun jo khulta hai zamane ka bharam achchha hai

Akhtar Madhupuri

yun jo khulta hai zamane ka bharam achchha hai

Akhtar Madhupuri

MORE BYAkhtar Madhupuri

    yuuñ jo khultā hai zamāne bharam achchhā hai

    ham pe hote haiñ zamāne ke sitam achchhā hai

    vo qadam kyā jo tajassus meñ rahe manzil ke

    baḌh ke ḳhud chuum le manzil vo qadam achchhā hai

    hai tamannā-e-asīrī to kabhī is meñ ulajh

    gesū-e-vaqt pech achchhā hai ḳham achchhā hai

    amn-o-insāf-o-musāvāt ḳhātir logo

    tum uThāo jo baġhāvat alam achchhā hai

    qatre milte haiñ to vo hote haiñ dariyā meñ shumār

    ham milā kar jo chaleñ apne qadam achchhā hai

    shīsha-e-dil meñ to hai dost ke irfāñ sharāb

    shīsha-e-dil se kahāñ sāġhar-o-jam achchhā hai

    mil ke kuchh karne ab aayā hai vaqt ai yaaro

    jis qadar ham meñ rahe fāsla kam achchhā hai

    'aḳhtar' aa kar chaman-e-gang-o-jaman ko dekhe

    jo ye kahtā hai ki gulzār-e-iram achchhā hai

    yun jo khulta hai zamane ka bharam achchha hai

    hum pe hote hain zamane ke sitam achchha hai

    wo qadam kya jo tajassus mein rahe manzil ke

    baDh ke KHud chum le manzil wo qadam achchha hai

    hai tamanna-e-asiri to kabhi is mein ulajh

    gesu-e-waqt ka pech achchha hai KHam achchha hai

    amn-o-insaf-o-musawat ki KHatir logo

    tum uThao jo baghawat ka alam achchha hai

    qatre milte hain to wo hote hain dariya mein shumar

    hum mila kar jo chalen apne qadam achchha hai

    shisha-e-dil mein to hai dost ke irfan ki sharab

    shisha-e-dil se kahan saghar-o-jam achchha hai

    mil ke kuchh karne ka ab aaya hai waqt ai yaro

    jis qadar hum mein rahe fasla kam achchha hai

    'aKHtar' aa kar chaman-e-gang-o-jaman ko dekhe

    jo ye kahta hai ki gulzar-e-iram achchha hai

    Source:

    (Pg. 60)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now