yun kahkashan-e-mohabbat sajate rahte hain
yuuñ kahkashān-e-mohabbat sajāte rahte haiñ
charāġh-e-jism jalāte bujhāte rahte haiñ
aur itne ūñche suroñ meñ ki saañs ukhaḌ jaa.e
shikast-e-jān kā ham naġhma gaate rahte haiñ
kisī zamāne meñ khoyā thā ek dam jis ko
zarā zarā sā use roz paate rahte haiñ
hamīñ nazar hamīñ nāzir hamīñ nazāra bhī
yuuñ apnī āñkhoñ se āñkheñ laḌāte rahte haiñ
hujūm-e-girya meñ uḌte haiñ qahqahe jo 'mirāsh'
kisī kā nauha kisī ko sunāte rahte haiñ
yun kahkashan-e-mohabbat sajate rahte hain
charagh-e-jism jalate bujhate rahte hain
aur itne unche suron mein ki sans ukhaD jae
shikast-e-jaan ka hum naghma gate rahte hain
kisi zamane mein khoya tha ek dam jis ko
zara zara sa use roz pate rahte hain
hamin nazar hamin nazir hamin nazara bhi
yun apni aankhon se aankhen laDate rahte hain
hujum-e-girya mein uDte hain qahqahe jo 'mirash'
kisi ka nauha kisi ko sunate rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.