aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun KHak ki manind na rahon pe bikhar ja

Shahzad Ahmad

yun KHak ki manind na rahon pe bikhar ja

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    yuuñ ḳhaak mānind na rāhoñ pe bikhar

    kirnoñ tarah jhiil ke siine meñ utar

    mat bhuul ki ab bhī hai tirī ghaat meñ sayyād

    suntā hai koī paañv āvāz Thahar

    mat dekh tamannā taraf aañkh uThā kar

    andhoñ tarah nuur ke dariyā se guzar

    manzil talab apnī taraf khīñch rahī hai

    aur raat musāfir se ye kahtī hai ki ghar

    itnā to samajh kyā hai tirī raah meñ haa.il

    aahū tarah apne saa.e se na Dar

    shāyad ki koī barhana-pā ho tire pīchhe

    jaate hue is raah ko kāñToñ se na bhar

    patthar nahīñ āñkheñ to ye aañsū haiñ baḌī chiiz

    bhīge hue phūloñ tarah aur nikhar

    dasht meñ us bazm raunaq ko na kar yaad

    shahr dīvār se sar phoḌ ke mar

    ik umr se royā huuñ na taḌpā huuñ meñ 'shahzād'

    ehsās bādal kabhī barsā hai na garjā

    yun KHak ki manind na rahon pe bikhar ja

    kirnon ki tarah jhil ke sine mein utar ja

    mat bhul ki ab bhi hai teri ghat mein sayyaad

    sunta hai koi panw ki aawaz Thahar ja

    mat dekh tamanna ki taraf aankh uTha kar

    andhon ki tarah nur ke dariya se guzar ja

    manzil ki talab apni taraf khinch rahi hai

    aur raat musafir se ye kahti hai ki ghar ja

    itna to samajh kya hai teri rah mein hail

    aahu ki tarah apne hi sae se na Dar ja

    shayad ki koi barhana-pa ho tere pichhe

    jate hue is rah ko kanTon se na bhar ja

    patthar nahin aankhen to ye aansu hain baDi chiz

    bhige hue phulon ki tarah aur nikhar ja

    ya dasht mein us bazm ki raunaq ko na kar yaad

    ya shahr ki diwar se sar phoD ke mar ja

    ek umr se roya hun na taDpa hun mein 'shahzad'

    ehsas ka baadal kabhi barsa hai na garja

    Source:

    Deewar pe dastak (Pg. 304)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now