Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun mashghala-e-saut-o-sada chhuT gaya hai

Shehzad Anjum Burhani

yun mashghala-e-saut-o-sada chhuT gaya hai

Shehzad Anjum Burhani

MORE BYShehzad Anjum Burhani

    yuuñ mashġhala-e-saut-o-sadā chhūT gayā hai

    vo gosh-bar-āvāz jo thā chhūT gayā hai

    ik be-sar-o-sāmān ḳhamoshī hai mire saath

    vo silsila-e-harf-o-navā chhūT gayā hai

    tā-hadd-e-nazar vahshat-e-be-nām bichhī hai

    raste meñ kahīñ ham se ḳhudā chhūT gayā hai

    ab vaqt chaukhaT pe jabīñ-sā.ī ravā hai

    ham se sar-e-pindār-e-anā chhūT gayā hai

    ab ḳhaak pe maqdūr nahīñ koī hamārā

    hāthoñ se jo dāmān-e-havā chhūT gayā hai

    yun mashghala-e-saut-o-sada chhuT gaya hai

    wo gosh-bar-awaz jo tha chhuT gaya hai

    ek be-sar-o-saman KHamoshi hai mere sath

    wo silsila-e-harf-o-nawa chhuT gaya hai

    ta-hadd-e-nazar wahshat-e-be-nam bichhi hai

    raste mein kahin hum se KHuda chhuT gaya hai

    ab waqt ki chaukhaT pe jabin-sai rawa hai

    hum se sar-e-pindar-e-ana chhuT gaya hai

    ab KHak pe maqdur nahin koi hamara

    hathon se jo daman-e-hawa chhuT gaya hai

    Source :
    • Book : Word File Mail By Salim Saleem
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now