Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun na ranj-o-malal kijiyega

Robeena Meer

yun na ranj-o-malal kijiyega

Robeena Meer

MORE BYRobeena Meer

    yuuñ na ranj-o-malāl kījiyegā

    yuuñ na jiinā muhāl kījiyegā

    jin koī javāb mumkin ho

    ham se aise savāl kījiyegā

    ham ne ho aap burā chāhā

    pesh koī misāl kījiyegā

    log paḌ jaa.eñ jis se hairat meñ

    aisā bhī kuchh kamāl kījiyegā

    ham ki sambhle haiñ saḳht mushkil se

    ab na paidā vabāl kījiyegā

    jis se mazbūt dil ke rishte hoñ

    vo ta'alluq bahāl kījiyegā

    rahī hai ye kaise 'robīna'

    apnī kuchh dekh-bhāl kījiyegā

    yun na ranj-o-malal kijiyega

    yun na jina muhaal kijiyega

    jin ka koi jawab mumkin ho

    hum se aise sawal kijiyega

    hum ne ho aap ka bura chaha

    pesh koi misal kijiyega

    log paD jaen jis se hairat mein

    aisa bhi kuchh kamal kijiyega

    hum ki sambhle hain saKHt mushkil se

    ab na paida wabaal kijiyega

    jis se mazbut dil ke rishte hon

    wo ta'alluq bahaal kijiyega

    ji rahi hai ye kaise 'robina'

    apni kuchh dekh-bhaal kijiyega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now