Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun ruTh kar na ja ki tujhe kuchh KHabar bhi hai

Bashir Farooqi

yun ruTh kar na ja ki tujhe kuchh KHabar bhi hai

Bashir Farooqi

MORE BYBashir Farooqi

    yuuñ ruuTh kar na ki tujhe kuchh ḳhabar bhī hai

    'umr-e-junūñ darāz bhī hai muḳhtasar bhī hai

    vo aañkh dekh kar bhī mujhe ajnabī hai

    iqrār-e-‘ishq bhī hai zamāne Dar bhī hai

    ai zindagī kabhī to mujhe muḌ ke dekh le

    ik shaḳhs terā chāhne vaalā idhar bhī hai

    is shahr-e-qātilāñ se hameñ kyā nahīñ milā

    siine meñ dāġh-e-‘ishq bhī hai zaḳhm-e-sar bhī hai

    māyūs ho ke kuchh na milegā jahān meñ

    jiinā bhī sīkhiye ki ye jiinā hunar bhī hai

    sūraj hisār-e-shab se nikal to gayā magar

    ḳhūn-e-shafaq se jāma-e-ḳhush-rang tar bhī hai

    itnā tujhe ḳhayāl rahe ai amīr-e-shahr

    ūñchī haveliyoñ muqaddar khañDar bhī hai

    patthar uThā ke soch rahā huuñ maiñ ai 'bashīr'

    is shahr-e-sang meñ mirā shīshe ghar bhī hai

    yun ruTh kar na ja ki tujhe kuchh KHabar bhi hai

    'umr-e-junun daraaz bhi hai muKHtasar bhi hai

    wo aankh dekh kar bhi mujhe ajnabi si hai

    iqrar-e-‘ishq bhi hai zamane ka Dar bhi hai

    ai zindagi kabhi to mujhe muD ke dekh le

    ek shaKHs tera chahne wala idhar bhi hai

    is shahr-e-qatilan se hamein kya nahin mila

    sine mein dagh-e-‘ishq bhi hai zaKHm-e-sar bhi hai

    mayus ho ke kuchh na milega jahan mein

    jina bhi sikhiye ki ye jina hunar bhi hai

    suraj hisar-e-shab se nikal to gaya magar

    KHun-e-shafaq se jama-e-KHush-rang tar bhi hai

    itna tujhe KHayal rahe ai amir-e-shahr

    unchi haweliyon ka muqaddar khanDar bhi hai

    patthar uTha ke soch raha hun main ai 'bashir'

    is shahr-e-sang mein mera shishe ka ghar bhi hai

    Source:

    Paron Ke Darmiyan (Pg. 94)

    • Author: Bashir Farooqi
      • Publisher: Bashir Farooqi
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now