Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun sisakta mujhe tum chhoD na jao aao

Dattatriya Kaifi

yun sisakta mujhe tum chhoD na jao aao

Dattatriya Kaifi

MORE BYDattatriya Kaifi

    yuuñ sisaktā mujhe tum chhoḌ na jaao aao

    āḳhirī vaqt hai ai jān-e-man aao aao

    sohbat-e-lutf meñ lo naam na ġhairoñ kabhī

    dil meñ āshiq ke na tum aag lagāo aao

    be-bane bahutoñ ko hai bigāḌā is ne

    apnī kākul ko bahut ab na banāo aao

    bhī lo rahne do kausar kahānī zāhid

    aisī be-par na yāroñ se uḌaao aao

    'kaifī' chhoḌo bhī kahīñ kū-e-butāñ ye dhun

    chain ārām dil-o-dīñ na gañvāo aao

    yun sisakta mujhe tum chhoD na jao aao

    aaKHiri waqt hai ai jaan-e-man aao aao

    sohbat-e-lutf mein lo nam na ghairon ka kabhi

    dil mein aashiq ke na tum aag lagao aao

    be-bane hi bahuton ko hai bigaDa is ne

    apni kakul ko bahut ab na banao aao

    pi bhi lo rahne do kausar ki kahani zahid

    aisi be-par ki na yaron se uDao aao

    'kaifi' chhoDo bhi kahin ku-e-butan ki ye dhun

    chain aaram dil-o-din na ganwao aao

    Source:

    Waridat (Pg. 514)

    • Author: Dattatriya Kaifi
      • Edition: 1941
      • Publisher: Measures Ram Lal Soori and Son's, Anarkali, Lahore
      • Year of Publication: 1941
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now