Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun to bahut hasin hai bahaar-e-chaman ki yaad

Arshad Siddiqui

yun to bahut hasin hai bahaar-e-chaman ki yaad

Arshad Siddiqui

MORE BYArshad Siddiqui

    yuuñ to bahut hasīñ hai bahār-e-chaman yaad

    dil par magar hai naqsh isī anjuman yaad

    ham ḳhud ġham-e-hayāt se sīna-figār haiñ

    ai dosto dilāo na us gul-badan yaad

    is inthā-e-talḳhī-e-daurāñ ke bāvajūd

    taaza hai aaj bhī kisī shīrīñ-dahan yaad

    phir meñ hai ki khā.iye koī nayā fareb

    phir aa rahī hai ik but-e-va.ada-shikan yaad

    rañgīn bādaloñ ke ye TukḌe ye chāñdnī

    aksar dilā ga.e haiñ tire bāñkpan yaad

    uljhan ġham-e-hayāt kuchh aur baḌh ga.ī

    aa.ī hai jab bhī zulf shikan-dar-shikan yaad

    'arshad' dayār-e-ġhair meñ sab kuchh luTā ke ham

    dil se lagā.e phirte haiñ apne vatan yaad

    yun to bahut hasin hai bahaar-e-chaman ki yaad

    dil par magar hai naqsh isi anjuman ki yaad

    hum KHud gham-e-hayat se sina-figar hain

    ai dosto dilao na us gul-badan ki yaad

    is intha-e-talKHi-e-dauran ke bawajud

    taza hai aaj bhi kisi shirin-dahan ki yaad

    phir ji mein hai ki khaiye koi naya fareb

    phir aa rahi hai ek but-e-wada-shikan ki yaad

    rangin baadalon ke ye TukDe ye chandni

    aksar dila gae hain tere bankpan ki yaad

    uljhan gham-e-hayat ki kuchh aur baDh gai

    aai hai jab bhi zulf shikan-dar-shikan ki yaad

    'arshad' dayar-e-ghair mein sab kuchh luTa ke hum

    dil se lagae phirte hain apne watan ki yaad

    Source:

    Nagma zaad (Pg. 97)

    • Author: Arshad Siddiqui
      • Edition: 2000
      • Publisher: Arshad Siddiqui
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now