Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun to dushwar hai chhoTe ka baDa ho jaana

Hashim Azimabadi

yun to dushwar hai chhoTe ka baDa ho jaana

Hashim Azimabadi

MORE BYHashim Azimabadi

    yuuñ to dushvār hai chhoTe baḌā ho jaanā

    har bhatīje hai me.arāj chachā ho jaanā

    hosh to hosh lañgoTī bhī ga.ī majnūñ

    kitnā mahñgā paḌā lailā pe fidā ho jaanā

    kam se kam vo sar-e-bāzār to uchhle kore

    le ke pagḌī sar-e-vā.iz se havā ho jaanā

    ham ne dekhā hai inhīñ āñkhoñ se kuchh bandoñ

    chaḌh ke kursī-e-vazārat pe ḳhudā ho jaanā

    yaad aatā hai to aatī hai raqīboñ pe hañsī

    dekhte mujhe vo un havā ho jaanā

    ye to hai zo.af-e-masāna dalīl ai vaa.iz

    har sahar terī namāzoñ qazā ho jaanā

    un bhābhī ne buḌhāpe meñ diyā hai bachcha

    ab musallam huā 'hāshim' chachā ho jaanā

    yun to dushwar hai chhoTe ka baDa ho jaana

    har bhatije ki hai mearaj chacha ho jaana

    hosh to hosh langoTi bhi gai majnun ki

    kitna mahnga paDa laila pe fida ho jaana

    kam se kam wo sar-e-bazar to uchhle kore

    le ke pagDi sar-e-waiz se hawa ho jaana

    hum ne dekha hai inhin aankhon se kuchh bandon ka

    chaDh ke kursi-e-wazarat pe KHuda ho jaana

    yaad aata hai to aati hai raqibon pe hansi

    dekhte hi mujhe wo un ka hawa ho jaana

    ye to hai zoaf-e-masana ki dalil ai waiz

    har sahar teri namazon ka qaza ho jaana

    un ki bhabhi ne buDhape mein diya hai bachcha

    ab musallam hua 'hashim' ka chacha ho jaana

    Source:

    Andaz-e-Bayan Aur (Pg. 59)

    • Author: Hashim Azimabadi
      • Publisher: Bihar Urdu Academy, Patna
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now