Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun to hai sahl har ek kaam ka aasan hona

Hashim Azimabadi

yun to hai sahl har ek kaam ka aasan hona

Hashim Azimabadi

MORE BYHashim Azimabadi

    yuuñ to hai sahl har ik kaam āsāñ honā

    maulvī ke liye dushvār hai insāñ honā

    niim uryāñ jo nazar aatī huuñ chalte phirte

    koī dushvār hai un ke liye uryāñ honā

    baiThne jo ijāzat mujhe DevḌhī pe milī

    bole ahbāb mubārak tujhe darbāñ honā

    maslahat thā taqāzā jo baḌhā dāḌhī

    aqd shart thī dīñ-dār musalmāñ honā

    bhuul kar bhī na kabhī shaiḳh ko mehmāñ karnā

    bhuul kar bhī na kabhī shaiḳh ke mehmāñ honā

    ishtihā-ḳhez hai iftārī ḳhushbū 'hāshim'

    roza-dāroñ na mujhe dekh ke hairāñ honā

    yun to hai sahl har ek kaam ka aasan hona

    maulwi ke liye dushwar hai insan hona

    nim uryan jo nazar aati hun chalte phirte

    koi dushwar hai un ke liye uryan hona

    baiThne ki jo ijazat mujhe DewDhi pe mili

    bole ahbab mubarak tujhe darban hona

    maslahat ka tha taqaza jo baDha li daDhi

    aqd ki shart thi din-dar musalman hona

    bhul kar bhi na kabhi shaiKH ko mehman karna

    bhul kar bhi na kabhi shaiKH ke mehman hona

    ishtiha-KHez hai iftari ki KHushbu 'hashim'

    roza-daron na mujhe dekh ke hairan hona

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now