Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun to KHud apne hi sae se bhi Dar jate hain log

Nafas Ambalvi

yun to KHud apne hi sae se bhi Dar jate hain log

Nafas Ambalvi

MORE BYNafas Ambalvi

    yuuñ to ḳhud apne saa.e se bhī Dar jaate haiñ log

    hādse kaise bhī hoñ lekin guzar jaate haiñ log

    jab mujhe dushvāriyoñ se rū-ba-rū honā paḌā

    tab maiñ samjhā reza reza kyuuñ bikhar jaate haiñ log

    sirf ġhāza nahīñ chehroñ ra.anā.ī raaz

    shiddat-e-ġham tapish se bhī nikhar jaate haiñ log

    mas.ale aa kar lipaT jaate haiñ bachchoñ tarah

    shaam ko jab lauT kar daftar se ghar jaate haiñ log

    har 'nafas' mar mar ke jiite haiñ tujhe ai zindagī

    aur jiine tamannā meñ mar jaate haiñ log

    yun to KHud apne hi sae se bhi Dar jate hain log

    hadse kaise bhi hon lekin guzar jate hain log

    jab mujhe dushwariyon se ru-ba-ru hona paDa

    tab main samjha reza reza kyun bikhar jate hain log

    sirf ghaza hi nahin chehron ki ranai ka raaz

    shiddat-e-gham ki tapish se bhi nikhar jate hain log

    masale aa kar lipaT jate hain bachchon ki tarah

    sham ko jab lauT kar daftar se ghar jate hain log

    har 'nafas' mar mar ke jite hain tujhe ai zindagi

    aur jine ki tamanna mein hi mar jate hain log

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now