Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun to pahlu mein mere aae to sharma jae hai

Sahir Bhopali

yun to pahlu mein mere aae to sharma jae hai

Sahir Bhopali

MORE BYSahir Bhopali

    yuuñ to pahlū meñ mire aa.e to sharmā jaa.e hai

    aur tasavvur meñ vo zālim be-dhaḌak aa jaa.e hai

    baiThe baiThe yaad jab vo bevafā aa jaa.e hai

    yuuñ lage hai jaise dil pahlū se niklā jaa.e hai

    us ke ruḳh par zulf jab shoḳhī se lahrā jaa.e hai

    kyā kahūñ us vaqt dil meñ kyā ḳhayāl aa jaa.e hai

    kyā kahūñ us judā.ī kyā ġhazab Dhā jaa.e hai

    jiite mujh ko marne maza aa jaa.e hai

    itnā nazdīk tujh ko rahā huuñ dil se maiñ

    jis qadar o bevafā duur hotā jaa.e hai

    jitnī jitnī baḌh rahī haiñ ishq majbūriyāñ

    utnā utnā zindagī lutf baḌhtā jaa.e hai

    yaad aanā us furqat meñ qayāmat ho gayā

    laakh samjhātā huuñ par dil hai ki machlā jaa.e hai

    yuuñ na Thukrā iltijā barbād dil par rahm kar

    sabr dāman mire hāthoñ se chhūTā jaa.e hai

    jab kamī mahsūs hogī un ko merī har jagah

    vo zamān-e-hijr meñ nazdīk aaya jaa.e hai

    jab nahīñ hotā koī ġham mirī fariyād-ras

    dard-e-dil ash'ār ke sāñchoñ meñ Dhaltā jaa.e hai

    jab umañDtā hai Dil-e-pur-ġham vufūr-e-dard se

    phir kahāñ palkoñ se ashkoñ ko sañbhālā jaa.e hai

    ho ke sharminda koī maa.il ho jis dam lutf par

    be-ḳhudī-e-shauq meñ phir kis se sambhlā jaa.e hai

    ik payām-e-nā-shunīda nāla-e-nā-āfrīd

    haa.e vo naġhma jo sāz-e-dil pe gaayā jaa.e hai

    ashk bhar-bhar aa.e haiñ is vaqt āñkhoñ meñ mirī

    apnī barbādī manzar kis se dekhā jaa.e hai

    shikva aa jaa.e hai 'sāhir' lab-e-māyūs par

    yūrish-e-ġham se dil-e-nākām ghabrā jaa.e hai

    yun to pahlu mein mere aae to sharma jae hai

    aur tasawwur mein wo zalim be-dhaDak aa jae hai

    baiThe baiThe yaad jab wo bewafa aa jae hai

    yun lage hai jaise dil pahlu se nikla jae hai

    us ke ruKH par zulf jab shoKHi se lahra jae hai

    kya kahun us waqt dil mein kya KHayal aa jae hai

    kya kahun us ki judai kya ghazab Dha jae hai

    jite ji hi mujh ko marne ka maza aa jae hai

    itna hi nazdik tujh ko pa raha hun dil se main

    jis qadar o bewafa tu dur hota jae hai

    jitni jitni baDh rahi hain ishq ki majburiyan

    utna utna zindagi ka lutf baDhta jae hai

    yaad aana us ka furqat mein qayamat ho gaya

    lakh samjhata hun par dil hai ki machla jae hai

    yun na Thukra iltija barbaad dil par rahm kar

    sabr ka daman mere hathon se chhuTa jae hai

    jab kami mahsus hogi un ko meri har jagah

    wo zaman-e-hijr mein nazdik aaya jae hai

    jab nahin hota koi gham ka meri fariyaad-ras

    dard-e-dil ash'ar ke sanchon mein Dhalta jae hai

    jab umanDta hai Dil-e-pur-gham wufur-e-dard se

    phir kahan palkon se ashkon ko sanbhaala jae hai

    ho ke sharminda koi mail ho jis dam lutf par

    be-KHudi-e-shauq mein phir kis se sambhla jae hai

    ek payam-e-na-shunida nala-e-na-afrid

    hae wo naghma jo saz-e-dil pe gaya jae hai

    ashk bhar-bhar aae hain is waqt aankhon mein meri

    apni barbaadi ka manzar kis se dekha jae hai

    shikwa aa hi jae hai 'sahir' lab-e-mayus par

    yurish-e-gham se dil-e-nakaam ghabra jae hai

    Source:

    Sada-e-Dil (Pg. 126)

    • Author: Sahir Bhopali
      • Publisher: Hali Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 1959
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now