Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun to pichhle sal ka mausam bhi kuchh achchha na tha

Aftab Ahmad Shah

yun to pichhle sal ka mausam bhi kuchh achchha na tha

Aftab Ahmad Shah

MORE BYAftab Ahmad Shah

    yuuñ to pichhle saal mausam bhī kuchh achchhā na thā

    zahr bastī fazā meñ is qadar phailā na thā

    is qadar surḳhī na thī rang-e-shafaq meñ dosto

    āsmāñ rang pahle yuuñ kabhī gadlā na thā

    maiñ na kah paayā to kyā tujh se na ban paayā to kyā

    maiñ na thā koī bhikārī koī daatā na thā

    raat din sarhadoñ meñ ab nahīñ hotī tamīz

    vo bhī kyā din the ki din kaaTe kabhī kaTtā na thā

    ham to apne dard se haare sadā dete rahe

    be-hisī ke gumbadoñ meñ koī darvāza na thā

    yun to pichhle sal ka mausam bhi kuchh achchha na tha

    zahr basti ki faza mein is qadar phaila na tha

    is qadar surKHi na thi rang-e-shafaq mein dosto

    aasman ka rang pahle yun kabhi gadla na tha

    main na kah paya to kya tujh se na ban paya to kya

    main na tha koi bhikari tu koi data na tha

    raat din ki sarhadon mein ab nahin hoti tamiz

    wo bhi kya din the ki din kaTe kabhi kaTta na tha

    hum to apne dard se haare sada dete rahe

    be-hisi ke gumbadon mein koi darwaza na tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now