Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun wafa aazmai jati hai

Ameer Raza Mazhari

yun wafa aazmai jati hai

Ameer Raza Mazhari

MORE BYAmeer Raza Mazhari

    yuuñ vafā āzmā.ī jaatī hai

    dil rag rag dikhā.ī jaatī hai

    apnī sūrat ke aa.ine meñ mujhe

    merī sūrat dikhā.ī jaatī hai

    ek halkī muskurāhaT se

    na.ī duniyā banā.ī jaatī hai

    na bane baat kuchh to hañs denā

    baat yuuñ bhī banā.ī jaatī hai

    jalne vaalā jale dhuāñ bhī na ho

    aag yuuñ bhī lagā.ī jaatī hai

    jaane vaale tujhe ḳhabar bhī hai

    ik qayāmat aa.ī jaatī hai

    chashm-e-umnīd tujh ko us shakl

    duur se phir dikhā.ī jaatī hai

    dil chhoTī ik kahānī thī

    ḳhatm par vo bhī aa.ī jaatī hai

    vo jo chamkā thā ik sitārā

    ik ghaTā us pe chhā.ī jaatī hai

    dil pe ubhrī thī vo jo ik tasvīr

    kitnī jaldī miTā.ī jaatī hai

    lau lagā.ī thī sham-e-mahfil se

    vo bhī ab jhilmilā.ī jaatī hai

    dūsroñ se 'razā' kisī yaad

    kis tarah se bhulā.ī jaatī hai

    yun wafa aazmai jati hai

    dil ki rag rag dikhai jati hai

    apni surat ke aaine mein mujhe

    meri surat dikhai jati hai

    ek halki si muskurahaT se

    nai duniya banai jati hai

    na bane baat kuchh to hans dena

    baat yun bhi banai jati hai

    jalne wala jale dhuan bhi na ho

    aag yun bhi lagai jati hai

    jaane wale tujhe KHabar bhi hai

    ek qayamat si aai jati hai

    chashm-e-umnid tujh ko us ki shakl

    dur se phir dikhai jati hai

    dil ki chhoTi si ek kahani thi

    KHatm par wo bhi aai jati hai

    wo jo chamka tha ek sitara sa

    ek ghaTa us pe chhai jati hai

    dil pe ubhri thi wo jo ek taswir

    kitni jaldi miTai jati hai

    lau lagai thi sham-e-mahfil se

    wo bhi ab jhilmilai jati hai

    dusron se 'raza' kisi ki yaad

    kis tarah se bhulai jati hai

    Source:

    Khar-o-Khas (Pg. 74)

    • Author: Ameer Raza Mazhari
      • Publisher: Maktaba-e-Irtiqa-e-Adab, Karachi
      • Year of Publication: 1977
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now