Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun wo zulmat se raha dast-o-gareban yaro

Habib Jalib

yun wo zulmat se raha dast-o-gareban yaro

Habib Jalib

MORE BYHabib Jalib

    Interesting Fact

    Dedicated to Sahir

    yuuñ vo zulmat se rahā dast-o-garebāñ yaaro

    us se larzāñ the bahut shab ke nigahbāñ yaaro

    us ne har-gām diyā hausla-e-tāza hameñ

    vo na ik pal bhī rahā ham se gurezāñ yaaro

    us ne maanī na kabhī tīrgī-e-shab se shikast

    dil añdheroñ meñ rahā us farozāñ yaaro

    us ko har haal meñ jiine adā aatī thī

    vo na hālāt se hotā thā pareshāñ yaaro

    us ne bātil se na tā-zīst kiyā samjhauta

    dahr meñ us kahāñ sāhab-e-īmāñ yaaro

    us ko thī kashmakash-e-dair-o-haram se nafrat

    us hindū na koī us musalmāñ yaaro

    us ne sultānī-e-jamhūr ke naġhme likkhe

    ruuh shāhoñ rahī us se pareshāñ yaaro

    apne ash.ār sham.oñ se ujālā kar ke

    kar gayā shab safar kitnā vo āsāñ yaaro

    us ke gītoñ se zamāne ko sañvāreñ yaaro

    rūh-e-'sāhir' ko agar karnā hai shādāñ yaaro

    yun wo zulmat se raha dast-o-gareban yaro

    us se larzan the bahut shab ke nigahban yaro

    us ne har-gam diya hausla-e-taza hamein

    wo na ek pal bhi raha hum se gurezan yaro

    us ne mani na kabhi tirgi-e-shab se shikast

    dil andheron mein raha us ka farozan yaro

    us ko har haal mein jine ki ada aati thi

    wo na haalat se hota tha pareshan yaro

    us ne baatil se na ta-zist kiya samjhauta

    dahr mein us sa kahan sahab-e-iman yaro

    us ko thi kashmakash-e-dair-o-haram se nafrat

    us sa hindu na koi us sa musalman yaro

    us ne sultani-e-jamhur ke naghme likkhe

    ruh shahon ki rahi us se pareshan yaro

    apne ashaar ki shamon se ujala kar ke

    kar gaya shab ka safar kitna wo aasan yaro

    us ke giton se zamane ko sanwaren yaro

    ruh-e-'sahir' ko agar karna hai shadan yaro

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Habib Jalib (Pg. 326)
    • Author : Habib Jalib
    • Publication : Tahir Sons Publishers (2012)
    • Edition : 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now