Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun zindagi ko zer-o-zabar kar rahe hain hum

Sabiha Sadaf

yun zindagi ko zer-o-zabar kar rahe hain hum

Sabiha Sadaf

MORE BYSabiha Sadaf

    yuuñ zindagī ko zer-o-zabar kar rahe haiñ ham

    har din gardishoñ meñ basar kar rahe haiñ ham

    manzil hai talāsh magar ye ḳhabar nahīñ

    kāġhaz kashtiyoñ meñ safar kar rahe haiñ ham

    ai shab sambhal ki tere añdheroñ ḳhair ho

    ḳhud meñ talāsh najm-o-qamar kar rahe haiñ ham

    kuchh hasratoñ ke qāfile kuchh ḳhvāhishoñ ke ghar

    bas ḳhvāb ḳhvāb meñ basar kar rahe haiñ ham

    ḳhurshed ham ko terī tamāzat Dar nahīñ

    ik tuḳhm-e-nā-tavāñ ko shajar kar rahe haiñ ham

    rabb-e-kā.ināt hai parvardigār hai

    sajde tujhe shām-o-sahar kar rahe haiñ ham

    ham ne talāsh-e-ishq meñ haarī hai zindagī

    ahl-e-junūñ ko aaj ḳhabar kar rahe haiñ ham

    hai maqsad-e-hayāt ki manzil mile 'sadaf'

    us talāsh shām-o-sahar kar rahe haiñ ham

    yun zindagi ko zer-o-zabar kar rahe hain hum

    har din hi gardishon mein basar kar rahe hain hum

    manzil ki hai talash magar ye KHabar nahin

    kaghaz ki kashtiyon mein safar kar rahe hain hum

    ai shab sambhal ki tere andheron ki KHair ho

    KHud mein talash najm-o-qamar kar rahe hain hum

    kuchh hasraton ke qafile kuchh KHwahishon ke ghar

    bas KHwab KHwab hi mein basar kar rahe hain hum

    KHurshed hum ko teri tamazat ka Dar nahin

    ek tuKHm-e-na-tawan ko shajar kar rahe hain hum

    tu rabb-e-kainat hai parwardigar hai

    sajde tujhe hi sham-o-sahar kar rahe hain hum

    hum ne talash-e-ishq mein haari hai zindagi

    ahl-e-junun ko aaj KHabar kar rahe hain hum

    hai maqsad-e-hayat ki manzil mile 'sadaf'

    us ki talash sham-o-sahar kar rahe hain hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now