Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yunhi aksar mujhe samjha bujha kar lauT jati hai

imtiyaz Khan

yunhi aksar mujhe samjha bujha kar lauT jati hai

imtiyaz Khan

MORE BYimtiyaz Khan

    yūñhī aksar mujhe samjhā bujhā kar lauT jaatī hai

    kisī yaad mere paas aa kar lauT jaatī hai

    maiñ bad-qismat vo gulshan huuñ ḳhizāñ jis muqaddar hai

    bahār aatī hai darvāze se aa kar lauT jaatī hai

    use apnā banāne meñ bhī ik anjān Dar hai

    duā hoñToñ talak aatī hai aa kar lauT jaatī hai

    maiñ apnī qaid ko apnī āzādī samajh lūñgā

    rihā.ī mujh ko zanjīreñ lagā kar lauT jaatī hai

    agar itnī sarkash hai to mujh pe kyuuñ nahīñ girtī

    vahī bijlī jo merā ghar jalā kar lauT jaatī hai

    vahāñ par bhī charāġh-e-ārzū ham ne jalā.e haiñ

    jahāñ se raushnī bhī sar jhukā kar lauT jaatī hai

    use maiñ dekh to letā huuñ lekin chhū nahīñ paatā

    koī shai hai jo mere paas aa kar lauT jaatī hai

    yunhi aksar mujhe samjha bujha kar lauT jati hai

    kisi ki yaad mere pas aa kar lauT jati hai

    main bad-qismat wo gulshan hun KHizan jis ka muqaddar hai

    bahaar aati hai darwaze se aa kar lauT jati hai

    use apna banane mein bhi ek anjaan sa Dar hai

    dua honTon talak aati hai aa kar lauT jati hai

    main apni qaid ko hi apni aazadi samajh lunga

    rihai mujh ko zanjiren laga kar lauT jati hai

    agar itni hi sarkash hai to mujh pe kyun nahin girti

    wahi bijli jo mera ghar jala kar lauT jati hai

    wahan par bhi charagh-e-arzu hum ne jalae hain

    jahan se raushni bhi sar jhuka kar lauT jati hai

    use main dekh to leta hun lekin chhu nahin pata

    koi shai hai jo mere pas aa kar lauT jati hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now