Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yunhi sote se kabhi jag ke uThne ka sabab

Mansoor Ejaz

yunhi sote se kabhi jag ke uThne ka sabab

Mansoor Ejaz

MORE BYMansoor Ejaz

    yūñhī sote se kabhī jaag ke uThne sabab

    shab to hogā tumheñ dil ke dhaḌakne sabab

    dil key rāhoñ se ḳhalāoñ ke safar tak key ghuTan

    aur kuchh soch ke ā.īne ko takne sabab

    is guzargāh se hargiz vo guzarne nahīñ

    phir usī moḌ pe tanhā tire rukne sabab

    alvidā.a kahne jo aayā thā tirā kyā thā batā

    us se mil kar ye tere phuuT ke rone sabab

    koī chehra koī ḳhushbū na kahīñ koī sarāb

    aisī tanhā.ī se 'mansūr' ulajhne sabab

    yunhi sote se kabhi jag ke uThne ka sabab

    shab to hoga tumhein dil ke dhaDakne ka sabab

    dil key rahon se KHalaon ke safar tak key ghuTan

    aur kuchh soch ke aaine ko takne ka sabab

    is guzargah se hargiz wo guzarne ka nahin

    phir usi moD pe tanha tere rukne ka sabab

    alwidaa kahne jo aaya tha tera kya tha bata

    us se mil kar ye tere phuT ke rone ka sabab

    koi chehra koi KHushbu na kahin koi sarab

    aisi tanhai se 'mansur' ulajhne ka sabab

    Source:

    Widrabh mein Jadeed Urdu Shairi: Ek Motala (Pg. 93)

      • Publisher: Mohammad Azhar Hayat
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now