Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zahido rauza-e-rizwan se kaho ishq allah

Nazeer Akbarabadi

zahido rauza-e-rizwan se kaho ishq allah

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    zāhido rauza-e-rizvāñ se kaho ishq allāh

    āshiqo kūcha-e-jānāñ se kaho ishq allāh

    jis āñkhoñ ne kiyā bazm-e-do-ālam ko ḳharāb

    koī us fitna-e-daurāñ se kaho ishq allāh

    yaaro dekho jo kahīñ us gul-e-ḳhandāñ jamāl

    to mire dīda-e-giryāñ se kaho ishq allāh

    haiñ jo vo kushta-e-shamshīr nigāh-e-qātil

    ke un ganj-e-shahīdāñ se kaho ishq allāh

    aah ke saath mire siine se nikle hai dhuāñ

    ai butāñ mujh dil-e-biryāñ se kaho ishq allāh

    yaad meñ us ke ruḳh o zulf har aan 'nazīr'

    roz-o-shab sumbul-o-raihāñ se kaho ishq allāh

    zahido rauza-e-rizwan se kaho ishq allah

    aashiqo kucha-e-jaanan se kaho ishq allah

    jis ki aankhon ne kiya bazm-e-do-alam ko KHarab

    koi us fitna-e-dauran se kaho ishq allah

    yaro dekho jo kahin us gul-e-KHandan ka jamal

    to mere dida-e-giryan se kaho ishq allah

    hain jo wo kushta-e-shamshir nigah-e-qatil

    ja ke un ganj-e-shahidan se kaho ishq allah

    aah ke sath mere sine se nikle hai dhuan

    ai butan mujh dil-e-biryan se kaho ishq allah

    yaad mein us ke ruKH o zulf ki har aan 'nazir'

    roz-o-shab sumbul-o-raihan se kaho ishq allah

    Source:

    Kulliyat-e-Nazeer (Pg. 134(247))

    • Author: Nazeer Akbarabadi
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1951

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now