Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zahir fareb nargis-e-mastana ho gaya

Mahmood Rampuri

zahir fareb nargis-e-mastana ho gaya

Mahmood Rampuri

MORE BYMahmood Rampuri

    zāhir fareb nargis-e-mastāna ho gayā

    kuchh hoshiyār ab dil-e-dīvāna ho gayā

    aañsū bhare haiñ aañkh meñ us mast-e-husn

    labrez kis umr paimāna ho gayā

    iz.hār-e-arz-e-vasl ye bāteñ nahīñ vahāñ

    ik harf-e-mudda.ā unheñ afsāna ho gayā

    pahle kahāñ thā us dil-e-betāb ye haal

    kambaḳht us ko dekh ke dīvāna ho gayā

    hamdam sharīk koī bure vaqt nahīñ

    jab dil dost ishq meñ begāna ho gayā

    ishq-e-butāñ meñ ḳhāna-e-dil rahā ye haal

    ka.aba banā kabhī kabhī but-ḳhāna ho gayā

    har mai-parast jāma-e-ke-khusravī meñ thā

    labrez jab sharāb se paimāna ho gayā

    maiñ ne arz-e-vasl to bole raqīb se

    kyā hoshiyār shaḳhs thā dīvāna ho gayā

    'mahmūd' hai butoñ se vafā tujhe umiid

    patthar samajh pe paḌ ga.e dīvāna ho gayā

    zahir fareb nargis-e-mastana ho gaya

    kuchh hoshiyar ab dil-e-diwana ho gaya

    aansu bhare hain aankh mein us mast-e-husn ki

    labrez kis ki umr ka paimana ho gaya

    izhaar-e-arz-e-wasl ye baaten nahin wahan

    ek harf-e-muddaa unhen afsana ho gaya

    pahle kahan tha us dil-e-betab ka ye haal

    kambaKHt us ko dekh ke diwana ho gaya

    hamdam sharik koi bure waqt ka nahin

    jab dil sa dost ishq mein begana ho gaya

    ishq-e-butan mein KHana-e-dil ka raha ye haal

    kaba bana kabhi kabhi but-KHana ho gaya

    har mai-parast jama-e-ke-khusrawi mein tha

    labrez jab sharab se paimana ho gaya

    ki main ne arz-e-wasl to bole raqib se

    kya hoshiyar shaKHs tha diwana ho gaya

    'mahmud' hai buton se wafa ki tujhe umid

    patthar samajh pe paD gae diwana ho gaya

    Source:

    Jazbat-e-Mahmood (Pg. 58)

    • Author: Mahmood Rampuri
      • Year of Publication: 1953
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now