Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zahiran ye but to hain nazuk gul-e-tar ki tarah

Shauq Bahraichi

zahiran ye but to hain nazuk gul-e-tar ki tarah

Shauq Bahraichi

MORE BYShauq Bahraichi

    zāhiran ye but to haiñ nāzuk gul-e-tar tarah

    dil magar hotā hai kam-baḳhtoñ patthar tarah

    jalva-gāh-e-nāz meñ dekh aa.e haiñ sau baar ham

    rañg-e-rū-e-yār hai bilkul chuqandar tarah

    mūnis-e-tanhā.ī jab hotā nahīñ hai ham-ḳhayāl

    ghar meñ bhī jhanjhaT huā kartā hai bāhar tarah

    aap behad nek-tīnat nek-sīrat nek-ḳhū

    harkateñ karte haiñ lekin aap bandar tarah

    jis ke haamī ho ga.e vaa.iz vo baazī le gayā

    ahmiyat hai aap duniyā meñ joker tarah

    allāh allāh ye sitam-gar qayāmat-ḳhez chaal

    roz hañgāma huā kartā hai mahshar tarah

    pūchhne vaale ġham-e-jānāñ shīrīnī na pūchh

    ġham ke maare roz uḌāte haiñ muza.afar tarah

    zeb-e-tan vaa.iz ke dekhī hai qabā-e-zar-nigār

    sar pe amāma hai ik dhobī ke gaTThar tarah

    dost ke īfā-e-va.ada hai ab tak intizār

    guzrā october november bhī september tarah

    naaz meñ andāz meñ raftār meñ guftār meñ

    ardalī bhī haiñ collector ke collector tarah

    nashsha-bandī chāhte to haiñ ye haamī diin ke

    phir bhī mil jaa.e to leñ shīr-e-mādar tarah

    ho rahā hai jis qadar bhī 'shauq'-sāhab insidād

    utnī kaTtī hai rishvat muulī gājar tarah

    zahiran ye but to hain nazuk gul-e-tar ki tarah

    dil magar hota hai kam-baKHton ka patthar ki tarah

    jalwa-gah-e-naz mein dekh aae hain sau bar hum

    rang-e-ru-e-yar hai bilkul chuqandar ki tarah

    munis-e-tanhai jab hota nahin hai ham-KHayal

    ghar mein bhi jhanjhaT hua karta hai bahar ki tarah

    aap behad nek-tinat nek-sirat nek-KHu

    harkaten karte hain lekin aap bandar ki tarah

    jis ke hami ho gae waiz wo bazi le gaya

    ahmiyat hai aap ki duniya mein joker ki tarah

    allah allah ye sitam-gar ki qayamat-KHez chaal

    roz hangama hua karta hai mahshar ki tarah

    puchhne wale gham-e-jaanan ki shirini na puchh

    gham ke mare roz uDate hain muzafar ki tarah

    zeb-e-tan waiz ke dekhi hai qaba-e-zar-nigar

    sar pe amama hai ek dhobi ke gaTThar ki tarah

    dost ke ifa-e-wada ka hai ab tak intizar

    guzra october nowember bhi september ki tarah

    naz mein andaz mein raftar mein guftar mein

    ardali bhi hain collector ke collector ki tarah

    nashsha-bandi chahte to hain ye hami din ke

    phir bhi mil jae to pi len shir-e-madar ki tarah

    ho raha hai jis qadar bhi 'shauq'-sahab insidad

    utni hi kaTti hai rishwat muli gajar ki tarah

    Source:

    intekhab-e-kalam shauq bahraichi (Pg. 58)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now