Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zat ka gahra andhera hai bikhar ja mujh mein

Shakeel Mazhari

zat ka gahra andhera hai bikhar ja mujh mein

Shakeel Mazhari

MORE BYShakeel Mazhari

    zaat gahrā añdherā hai bikhar mujh meñ

    Dūbtī shaam ke sūraj utar mujh meñ

    ibn-e-ādam huuñ maiñ shahzāda-e-ta.amīr-e-hayāt

    jo bigḌā ho to ai vaqt sañvar mujh meñ

    phir se ik shakl na.ī tujh ko atā kar dūñgā

    ai mirī ziist kisī roz mar mujh meñ

    aa.e aur biit ga.e kitne sāvan lekin

    koī jazba koī bādal nahīñ garjā mujh meñ

    saḳht-jānī pe mirī kartī hai duniyā hairat

    zindagī apnā koī zahr bhar mujh meñ

    terī pairāhan-e-alfāz se taz.īn karūñ

    ai mire karb zarā der Thahar mujh meñ

    ruuh dasht huuñ sahrā-e-taḳhayyul huuñ maiñ

    har taraf ek udāsī hai guzar mujh meñ

    ye sadā-e-pas-e-anfās parda kab tak

    kahīñ hai to taḌap aur ubhar mujh meñ

    rañg huuñ giit huuñ naġhma huuñ maiñ ḳhushbū huuñ 'shakīl'

    ziist ziist hai bikhrī huī har mujh meñ

    zat ka gahra andhera hai bikhar ja mujh mein

    Dubti sham ke suraj tu utar ja mujh mein

    ibn-e-adam hun main shahzada-e-tamir-e-hayat

    tu jo bigDa ho to ai waqt sanwar ja mujh mein

    phir se ek shakl nai tujh ko ata kar dunga

    ai meri zist kisi roz tu mar ja mujh mein

    aae aur bit gae kitne hi sawan lekin

    koi jazba koi baadal nahin garja mujh mein

    saKHt-jaani pe meri karti hai duniya hairat

    zindagi apna koi zahr hi bhar ja mujh mein

    teri pairahan-e-alfaz se tazin karun

    ai mere karb zara der Thahar ja mujh mein

    ruh ka dasht hun sahra-e-taKHayyul hun main

    har taraf ek udasi hai guzar ja mujh mein

    ye sada-e-pas-e-anfas ka parda kab tak

    tu kahin hai to taDap aur ubhar ja mujh mein

    rang hun git hun naghma hun main KHushbu hun 'shakil'

    zist hi zist hai bikhri hui har ja mujh mein

    Source:

    Aqeela Shaheen (Pg. ebook-69 page-67)

      • Edition: 1971
      • Publisher: Asrar Karimi Press, Allahabad
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now