Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zat ke gard fasilen hain riyazat malum

Jafar Raza

zat ke gard fasilen hain riyazat malum

Jafar Raza

MORE BYJafar Raza

    zaat ke gard fasīleñ haiñ riyāzat ma.alūm

    sirf jannat ke liye hai to ibādat ma.alūm

    ye bhī ik shān-e-rahīmī hai tirī izz-o-jal

    na to manzil ḳhabar hai na masāfat ma.alūm

    vo bhī ik shaḳhs hai saada magar pechīda

    na khulī us mohabbat na adāvat ma.alūm

    zaḳhm-e-dil ho ga.e ḳhandāñ vo mulāqāt huī

    hai mujhe aap andāz-e-ayādat ma.alūm

    vahī qātil vahī munsif vahī ainī shāhid

    adl aur aap mīzān-e-adālat ma.alūm

    jāñch hukm haqā.eq hai parda-poshī

    un ko pahle se haiñ asbāb-e-baġhāvat ma.alūm

    aise-vaise hue is shahr meñ kaise kaise

    ahl-e-dastār hai ham ko najābat ma.alūm

    ḳhūn-e-nāhaq se haiñ buniyādeñ bharī mahloñ

    qatl hote the jo hotī thī siyādat ma.alūm

    zat ke gard fasilen hain riyazat malum

    sirf jannat ke liye hai to ibaadat malum

    ye bhi ek shan-e-rahimi hai teri izz-o-jal

    na to manzil ki KHabar hai na masafat malum

    wo bhi ek shaKHs hai sada sa magar pechida

    na khuli us ki mohabbat na adawat malum

    zaKHm-e-dil ho gae KHandan wo mulaqat hui

    hai mujhe aap ka andaz-e-ayaadat malum

    wahi qatil wahi munsif wahi aini shahid

    adl aur aap ki mizan-e-adalat malum

    jaanch ka hukm haqaeq ki hai parda-poshi

    un ko pahle se hain asbab-e-baghawat malum

    aise-waise hue is shahr mein kaise kaise

    ahl-e-dastar ki hai hum ko najabat malum

    KHun-e-nahaq se hain buniyaaden bhari mahlon ki

    qatl hote the jo hoti thi siyaadat malum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now