Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zat se ta-ba-had-e-zat guzar jaun main

Anjum Fauqi Badayuni

zat se ta-ba-had-e-zat guzar jaun main

Anjum Fauqi Badayuni

MORE BYAnjum Fauqi Badayuni

    zaat se tā-ba-had-e-zāt guzar jā.ūñ maiñ

    mujh ko itnā na sameTo ki bikhar jā.ūñ maiñ

    ek chehre meñ kahāñ huuñ jo nikhar jā.ūñ maiñ

    log ā.īna uThā.eñ to ubhar jā.ūñ maiñ

    dushmanoñ se ḳhalish-e-zīst to mil jaatī hai

    dostoñ tak rahe baat to mar jā.ūñ maiñ

    zat se ta-ba-had-e-zat guzar jaun main

    mujh ko itna na sameTo ki bikhar jaun main

    ek chehre mein kahan hun jo nikhar jaun main

    log aaina uThaen to ubhar jaun main

    dushmanon se KHalish-e-zist to mil jati hai

    doston tak hi rahe baat to mar jaun main

    Source:

    Mehr-o-Mah (Pg. 72)

    • Author: Anjum Fauqi Badayuni
      • Publisher: Idara-e-Fauq-ul-Adab, Pakistan
      • Year of Publication: 1980
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now