Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaban mile to hazar baaten kaha karen hum

Jameel Malik

zaban mile to hazar baaten kaha karen hum

Jameel Malik

MORE BYJameel Malik

    zabāñ mile to hazār bāteñ kahā kareñ ham

    sadā rishta TuuT jaa.e to kyā kareñ ham

    ye shahr-e-shīsha to shahr-e-nā-āshnā hai pyāre

    kise pukāreñ yahāñ kise āshnā kareñ ham

    agar ḳhudā tak pahuñch sake harf-e-nā-rasā.ī

    to arsh tak bhī buland dast-e-duā kareñ ham

    yahāñ masīhā ke kaam jab duā na aa.ī

    duā kareñ ab to kis ḳhātir duā kareñ ham

    ab un ke hāthoñ kafan ehsāñ bhī kyoñ uThā.eñ

    shahādatoñ ke lahū se rangīñ qabā kareñ ham

    koī kisī ko na de sake tān-e-nā-rasā.ī

    jo qarz-e-jāñ hai vo mar ke va.ada vafā kareñ ham

    ham apnā qātil ḳhud apne aa.ine meñ dekheñ

    agar kabhī apnī zaat sāmnā kareñ ham

    mahak uThe karbalā se apne vatan tak aa.e

    kuchh aise zinda vo qissa-e-karbalā kareñ ham

    vo jis ḳhushbū abad abad tak rahe salāmat

    ik aisā naama raqam safīr-e-sabā kareñ ham

    vo jis adā se urūs-e-fardā ko ne chūmā

    nisār us par har ik adā ḳhush-adā kareñ ham

    'jamīl' sab se azīm-tar is sadī ġham hai

    sabhī ko ab is ke ishq meñ mubtalā kareñ ham

    zaban mile to hazar baaten kaha karen hum

    sada ka rishta hi TuT jae to kya karen hum

    ye shahr-e-shisha to shahr-e-na-ashna hai pyare

    kise pukaren yahan kise aashna karen hum

    agar KHuda tak pahunch sake harf-e-na-rasai

    to arsh tak bhi buland dast-e-dua karen hum

    yahan masiha ke kaam hi jab dua na aai

    dua karen ab to kis ki KHatir dua karen hum

    ab un ke hathon kafan ka ehsan bhi kyon uThaen

    shahadaton ke lahu se rangin qaba karen hum

    koi kisi ko na de sake tan-e-na-rasai

    jo qarz-e-jaan hai wo mar ke wada wafa karen hum

    hum apna qatil KHud apne hi aaine mein dekhen

    agar kabhi apni zat ka samna karen hum

    mahak uThe karbala se apne watan tak aae

    kuchh aise zinda wo qissa-e-karbala karen hum

    wo jis ki KHushbu abad abad tak rahe salamat

    ek aisa nama raqam safir-e-saba karen hum

    wo jis ada se urus-e-farda ko tu ne chuma

    nisar us par har ek ada KHush-ada karen hum

    'jamil' sab se azim-tar is sadi ka gham hai

    sabhi ko ab is ke ishq mein mubtala karen hum

    Source:

    Muntakhab Ghazlein-1982 (Pg. 64)

      • Publisher: Zahid Malik
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now