Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaban par sabhi ki baat hai faqat sawar ki

Neeraj Goswami

zaban par sabhi ki baat hai faqat sawar ki

Neeraj Goswami

MORE BYNeeraj Goswami

    zabān par sabhī baat hai faqat savār

    kabhī to baat bhī ho pālkī liye kahār

    guloñ ko titliyoñ ko kis tarah karegā yaad vo

    ki jis ko fikr rāt-din lagī ho rozgār

    bigaḌ ke jis ne liyā tamām lutf-e-zindagī

    nahīñ sunegā phir vo baat koī bhī sudhār

    vo ḳhush rahe ye soch kar sadā maiñ hārtā gayā

    kisī ke saath jab laḌī laḌā.ī ār-pār

    jise bhī dekhiye use vo toḌ kar hai baḌhā

    kahāñ rahīñ haiñ desh meñ zarūrateñ qatār

    tujhe paḌhā hamesha maiñ ne apnī band āñkhoñ se

    ye dāstān hai nazar pe raushnī ke vaar

    chaḌhe jo is qadar ki phir kabhī utar nahīñ sake

    talāsh zindagī meñ hai mujhe usī ḳhumār

    zaban par sabhi ki baat hai faqat sawar ki

    kabhi to baat bhi ho palki liye kahaar ki

    gulon ko titliyon ko kis tarah karega yaad wo

    ki jis ko fikr raat-din lagi ho rozgar ki

    bigaD ke jis ne pa liya tamam lutf-e-zindagi

    nahin sunega phir wo baat koi bhi sudhaar ki

    wo KHush rahe ye soch kar sada main haarta gaya

    kisi ke sath jab laDi laDai aar-par ki

    jise bhi dekhiye use wo toD kar hi hai baDha

    kahan rahin hain desh mein zaruraten qatar ki

    tujhe paDha hamesha main ne apni band aankhon se

    ye dastan hai nazar pe raushni ke war ki

    chaDhe jo is qadar ki phir kabhi utar nahin sake

    talash zindagi mein hai mujhe usi KHumar ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now