Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaban par shikwa-e-dar-o-rasan laya nahin jata

Nazar Barni

zaban par shikwa-e-dar-o-rasan laya nahin jata

Nazar Barni

MORE BYNazar Barni

    zabāñ par shikva-e-dār-o-rasan laayā nahīñ jaatā

    jo apnā haal hai duniyā ko dikhlāyā nahīñ jaatā

    baḌī mushkil se miltā hai junūn-e-āshiqī yaaro

    jise kar ḳhirad god meñ jaayā nahīñ jaatā

    razā-e-dost meñ kuchh īñ-o-āñ baaqī nahīñ rahtā

    mohabbat koī farmān Thukrāyā nahīñ jaatā

    kisī se zilm-e-be-jā shikāyat ho to kyūñkar ho

    sitam ye hai ki apnā dil bhī apnāyā nahīñ jaatā

    jafā-pesha hasīnoñ se vafā kyā tavaqqo hai

    magar dil ko kisī unvān samjhāyā nahīñ jaatā

    ḳhirad baat se aage ta.ayyun se bahut baalā

    tasavvur aap kar bhī leñ to vo aayā nahīñ jaatā

    hazāroñ baar muusā tuur par jaa.eñ to kyā hāsil

    ye vo jalva hai jo har baar dikhlāyā nahīñ jaatā

    vahāñ pahuñchā ḳhudā ek banda ān-e-vāhid meñ

    jahāñ insān kyā insān saayā nahīñ jaatā

    'nazar' ek jumbish par matā-e-hosh luTtī hai

    jo is manzil meñ khoyā hai use paayā nahīñ jaatā

    zaban par shikwa-e-dar-o-rasan laya nahin jata

    jo apna haal hai duniya ko dikhlaya nahin jata

    baDi mushkil se milta hai junun-e-ashiqi yaro

    jise pa kar KHirad ki god mein jaya nahin jata

    raza-e-dost mein kuchh in-o-an baqi nahin rahta

    mohabbat ka koi farman Thukraya nahin jata

    kisi se zilm-e-be-ja ki shikayat ho to kyunkar ho

    sitam ye hai ki apna dil bhi apnaya nahin jata

    jafa-pesha hasinon se wafa ki kya tawaqqo hai

    magar dil ko kisi unwan samjhaya nahin jata

    KHirad ki baat se aage tayyun se bahut baala

    tasawwur aap kar bhi len to wo aaya nahin jata

    hazaron bar musa tur par jaen to kya hasil

    ye wo jalwa hai jo har bar dikhlaya nahin jata

    wahan pahuncha KHuda ka ek banda aan-e-wahid mein

    jahan insan kya insan ka saya nahin jata

    'nazar' ki ek jumbish par mata-e-hosh luTti hai

    jo is manzil mein khoya hai use paya nahin jata

    Source:

    Mata-e-Nazar (Pg. 58)

    • Author: Nazar Barni
      • Edition: 1969
      • Publisher: Maktaba Naaz-e-Baran, Jamia Nagar, New Delhi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now