zaban pe ghaugha-e-harf-e-dua hai kitni der

zaban pe ghaugha-e-harf-e-dua hai kitni der
Muzaffar Ahmad Muzaffar
MORE BYMuzaffar Ahmad Muzaffar
zabāñ pe ġhauġhā-e-harf-e-du'ā hai kitnī der
ye aasrā hai magar aasrā hai kitnī der
pighal rahī hai charāġhoñ kī lau december meñ
ye barf-bārī kā mausam kaḌā hai kitnī der
hamāre lab pe vahī al-‘atash kā naġhma hai
kanār-e-āb-e-ravāñ karbalā hai kitnī der
miTā rahī hai mashiyyat har ek naqsh-e-kuhan
hatheliyoñ pe ye rang-e-hinā hai kitnī der
tumhārī garmī-e-anfās par bharosa hai
tumhārā lams magar jāñ-fazā hai kitnī der
hamāre hujra-e-jāñ kā to e'tibār nahīñ
tumhārī yaad kā mehmāñ-sarā hai kitnī der
abhī to lutf-o-'ināyāt kā shumār nahīñ
ḳhudā ḳhabar ki ye dast-e-‘atā hai kitnī der
tumheñ ḳhabar nahīñ is sard-posh mausam meñ
hamārī aañkh se dariyā bahā hai kitnī der
shurū'-e-'ishq meñ ye iztirāb che mā'nī
kise ḳhabar ki ye āh-o-bukā hai kitnī der
sadā-e-gumbad-e-be-dar kā e'tibār na kar
ye bāzgasht hai is ko baqā hai kitnī der
bujhā hī degā kisī roz pyaas bastī kī
mujhe ḳhabar hai ye bādal rukā hai kitnī der
mirā sharīk-e-safar bhī hai rāhzan kī tarah
vo rahnumā hai magar rahnumā hai kitnī der
jo ho sake to piyo aaj jaam bhar bhar ke
nazar meñ chashma-e-āb-e-baqā hai kitnī der
sharāb-e-nāb hai sāġhar uThā.iye vā'iz
ye bad-maza sahī par bad-maza hai kitnī der
kise ḳhabar ki ye sub.h-e-visāl kā panchhī
jhulastī shāḳh pe naġhma-sarā hai kitnī der
zaban pe ghaugha-e-harf-e-du'a hai kitni der
ye aasra hai magar aasra hai kitni der
pighal rahi hai charaghon ki lau december mein
ye barf-bari ka mausam kaDa hai kitni der
hamare lab pe wahi al-‘atash ka naghma hai
kanar-e-ab-e-rawan karbala hai kitni der
miTa rahi hai mashiyyat har ek naqsh-e-kuhan
hatheliyon pe ye rang-e-hina hai kitni der
tumhaari garmi-e-anfas par bharosa hai
tumhaara lams magar jaan-faza hai kitni der
hamare hujra-e-jaan ka to e'tibar nahin
tumhaari yaad ka mehman-sara hai kitni der
abhi to lutf-o-'inayat ka shumar nahin
KHuda KHabar ki ye dast-e-‘ata hai kitni der
tumhein KHabar nahin is sard-posh mausam mein
hamari aankh se dariya baha hai kitni der
shuru'-e-'ishq mein ye iztirab che ma'ni
kise KHabar ki ye aah-o-buka hai kitni der
sada-e-gumbad-e-be-dar ka e'tibar na kar
ye bazgasht hai is ko baqa hai kitni der
bujha hi dega kisi roz pyas basti ki
mujhe KHabar hai ye baadal ruka hai kitni der
mera sharik-e-safar bhi hai rahzan ki tarah
wo rahnuma hai magar rahnuma hai kitni der
jo ho sake to piyo aaj jam bhar bhar ke
nazar mein chashma-e-ab-e-baqa hai kitni der
sharab-e-nab hai saghar uThaiye wa'iz
ye bad-maza sahi par bad-maza hai kitni der
kise KHabar ki ye subh-e-visal ka panchhi
jhulasti shaKH pe naghma-sara hai kitni der
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.