Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zabanen chup rahen lekin mizaj-e-yar bolega

Shayan  Quraishi

zabanen chup rahen lekin mizaj-e-yar bolega

Shayan Quraishi

MORE BYShayan Quraishi

    zabāneñ chup raheñ lekin mizāj-e-yār bolegā

    ki bā-zarf hai kitnā tirā kirdār bolegā

    na.ī nasloñ ko kis ne kyā diyā hai dekhiye lekin

    mire ash.ār meñ tahzīb me.aar bolegā

    vo jis ne khaa.e haiñ dhoke mohabbat kar ke apnoñ se

    vahī to ḳhuun ko paanī guloñ ko ḳhaar bolegā

    jahāñ sach baat kahne ho matlab jaan se jaanā

    usī mahfil meñ bas apnā dil-e-ḳhuddār bolegā

    vahāñ a.amāl ko apne koī jhuTlā na pā.egā

    ki ye hissa badan jab sar-e-darbār bolegā

    koī maane na maane par mohabbat haqīqat hai

    abhī maiñ kah rahā huuñ kal yahī aḳhbār bolegā

    agar ḳhāmosh kar bhī zabāñ rasm-e-mohabbat meñ

    sar-e-mahfil magar 'shāyān' kirdār bolegā

    zabanen chup rahen lekin mizaj-e-yar bolega

    ki tu ba-zarf hai kitna tera kirdar bolega

    nai naslon ko kis ne kya diya hai dekhiye lekin

    mere ashaar mein tahzib ka mear bolega

    wo jis ne khae hain dhoke mohabbat kar ke apnon se

    wahi to KHun ko pani gulon ko KHar bolega

    jahan sach baat kahne ka ho matlab jaan se jaana

    usi mahfil mein bas apna dil-e-KHuddar bolega

    wahan aamal ko apne koi jhuTla na paega

    ki ye hissa badan ka jab sar-e-darbar bolega

    koi mane na mane par mohabbat hi haqiqat hai

    abhi main kah raha hun kal yahi aKHbar bolega

    agar KHamosh kar bhi di zaban rasm-e-mohabbat mein

    sar-e-mahfil magar 'shayan' ka kirdar bolega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now