zabt-e-girya hunar-e-zinda-dilan Thahrega
zabt-e-girya hunar-e-zinda-dilāñ Thahregā
ik yahī band sar-e-sail-e-ravāñ Thahregā
apne pairoñ meñ hai bāñdhe hue fariyād-e-jaras
dil mirā ek musāfir hai kahāñ Thahregā
kaisā uslūb mirī jaan ki tere aage
lafz Thahregā koī aur na bayāñ Thahregā
kaaT dī 'umr isī chaah meñ rote dhote
kab mire dil ke qarīñ naġhma-e-jāñ Thahregā
lashkar-e-rū-e-sitam diid ke maidāñ meñ to aa
saf-shikan phir mirī āñkhoñ kā javāñ Thahregā
dasht-o-sahrā meñ kabhī gul kā talabgār na ban
varna ye kār-e-junūñ kār-e-jahāñ Thahregā
phir vahī sail-e-tamannā hai vahī dard kī mauj
aise āshob meñ kyā hujra-e-jāñ Thahregā
zabt-e-girya hunar-e-zinda-dilan Thahrega
ek yahi band sar-e-sail-e-rawan Thahrega
apne pairon mein hai bandhe hue fariyaad-e-jaras
dil mera ek musafir hai kahan Thahrega
kaisa uslub meri jaan ki tere aage
lafz Thahrega koi aur na bayan Thahrega
kaT di 'umr isi chah mein rote dhote
kab mere dil ke qarin naghma-e-jaan Thahrega
lashkar-e-ru-e-sitam did ke maidan mein to aa
saf-shikan phir meri aankhon ka jawan Thahrega
dasht-o-sahra mein kabhi gul ka talabgar na ban
warna ye kar-e-junun kar-e-jahan Thahrega
phir wahi sail-e-tamanna hai wahi dard ki mauj
aise aashob mein kya hujra-e-jaan Thahrega
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 75)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.