Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zabt mumkin na rahe baat hi aisi hogi

Shaida Sadaf

zabt mumkin na rahe baat hi aisi hogi

Shaida Sadaf

MORE BYShaida Sadaf

    zabt mumkin na rahe baat aisī hogī

    hausloñ ne to bahut parda-darī hogī

    sar uThāte hue jhuk jaatī haiñ nazreñ jis

    us ġhurbat bhī koī zaat to rakhtī hogī

    jo kisī naam se mansūb thī ab tak shāyad

    ḳhāna-e-dil meñ vo masnad abhī ḳhālī hogī

    sāya-e-gul se lipaT kar koī royā hogā

    chāñdnī jab dar-o-dīvār pe utrī hogī

    phir zamistāñ ThiThurtī huī shab ne chup-chāp

    us palkoñ pe mirī yaad piro hogī

    koī tārīk darīchoñ ke pare sochtā hai

    raushnī apnī rivāyāt to rakhtī hogī

    har kisī ke liye hote haiñ judā paimāne

    kāsa-e-chashm se daryūza-garī hogī

    zabt mumkin na rahe baat hi aisi hogi

    hauslon ne to bahut parda-dari ki hogi

    sar uThate hue jhuk jati hain nazren jis ki

    us ki ghurbat bhi koi zat to rakhti hogi

    jo kisi nam se mansub thi ab tak shayad

    KHana-e-dil mein wo masnad abhi KHali hogi

    saya-e-gul se lipaT kar koi roya hoga

    chandni jab dar-o-diwar pe utri hogi

    phir zamistan ki ThiThurti hui shab ne chup-chap

    us ki palkon pe meri yaad piro di hogi

    koi tarik darichon ke pare sochta hai

    raushni apni riwayat to rakhti hogi

    har kisi ke liye hote hain juda paimane

    kasa-e-chashm se daryuza-gari ki hogi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now