Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zabt ne bhincha to aasab ki chiKHen niklin

Ikram Azam

zabt ne bhincha to aasab ki chiKHen niklin

Ikram Azam

MORE BYIkram Azam

    zabt ne bhīñchā to a.asāb chīḳheñ niklīñ

    hausla TuuTā to ahbāb chīḳheñ niklīñ

    vahshateñ aisī alamnāk natā.ej meñ milīñ

    jin ke imkān pe asbāb chīḳheñ niklīñ

    us se fir.aun ke aḳhlāq ne māñgī hai panāh

    us se shaddād ke ādāb chīḳheñ niklīñ

    Dūbne vaale ne kis ishq se tan pesh kiyā

    shiddat-e-vasl se girdāb chīḳheñ niklīñ

    aise guftār ne kirdār ḳhil.at nochī

    māthe likkhe hue alqāb chīḳheñ niklīñ

    jo na laa.ī ga.ī us taab chīḳheñ niklīñ

    muñh pe paḌte hue tezāb chīḳheñ niklīñ

    lafz ubhre to samāvāt ke kañgare Dole

    aur jab Duube to mehrāb chīḳheñ niklīñ

    zabt ne bhincha to aasab ki chiKHen niklin

    hausla TuTa to ahbab ki chiKHen niklin

    wahshaten aisi alamnak nataej mein milin

    jin ke imkan pe asbab ki chiKHen niklin

    us se firaun ke aKHlaq ne mangi hai panah

    us se shaddad ke aadab ki chiKHen niklin

    Dubne wale ne kis ishq se tan pesh kiya

    shiddat-e-wasl se girdab ki chiKHen niklin

    aise guftar ne kirdar ki KHilat nochi

    mathe likkhe hue alqab ki chiKHen niklin

    jo na lai gai us tab ki chiKHen niklin

    munh pe paDte hue tezab ki chiKHen niklin

    lafz ubhre to samawat ke kangare Dole

    aur jab Dube to mehrab ki chiKHen niklin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now